Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Aug 25, 2022
BookMark
Report

Piles

Profile Image
Dr. Kulbhushan BhartiyaGeneral Surgeon • 37 Years Exp.MBBS, MS - General Surgery
lybrate_youtube

Me Dr. Kulbhushan Bhartiya hun, director & laparoscopic surgeon. Ajj Apko me piles ke bare me kuch btana chahta hun. Piles ke symptoms hain pain, blood from anal, ya fir kuch gantho ka bahar ana hai. Iske mukhye karan galat toilet training hai. Hum bacho ko bachpan me hi train kar dete hain ki jor lga ke potty kren jis s unhe problem hoti hai or vhin se masse banne start ho jate hain. Dusra hmare bhojan ke andar reshe ki kami. Reshe hmare mal bnane or peat saaf krne me maddad krte hain. Aaj kal ke fast food se rehse ki matra kam hoti ja rhi hai. Iske karan bhi bavasir ka nirman hota hai. Tisri kuch liver ki bimariyan hai jiske anadar masse ban jate hain.

Masson se upchar ke lia hum kya kya kar skte hain? Sabse pehle hmari toilet training shi honi chaiye taki jab bhi hume pressure ho, tabhi hum toilet jake apna peat clean kar sken. Dusra hum bhojan ke andar apne reshe ki matra badhayein jiki hum fruits and vegetables se milti hain. Fried foods avoid kren. Fried food se hume constipation ka problem ho skta hai. Iske roktham ke lia hume jyada pani pina hai or hume ye dhyan rkhna hai ki hum jyda se jyada paidal bhi chalen.

Agar hum in sab chizon ka dhyan rkhte hain to hmare masse aage nhi badhte hain. Khood jyada niklne ke chances ho jate hain. Iske lia hume operation bhi krna pad skta hai. Agar hum in chizon ka dhyan rkhenge to hum oepration ki jrurat kbhi nhi pdegi. Masse hmari khoon ke nason ka ek gucha hai. Hum injections se inko sukha dete hain jis se ye thik ho jate hain. Dusre treatment me hum ek band in nason ke guche pe lga dete hain jis se unki blood supply band ho jati hai or ye masse gir ke khtm ho jate hain. Tesra conventional surgery jo hum hath se oepration krte hain.

Usme hum in masson ko pehle bandhte hain and uske baad kat dete hain. 4th latest technique hmari durbin ke dwara hai jiske andr hum mason ko bhi khtm kar dete hain or agar guda ka rasta thoda bhi bahar aa rha hai to vo bhi thik ho jata hai. Agar hum sari chizon ka dhyan rkhen or bachav rkhen or khane me reshe ki matra jyada rkhen and fruits and vegetables jyada khayen to hume operation ki jrurat nhi pdegi. Hume jaise hi iske symptoms feel hon, hume immediately doctor se milna chaiye quki khoon aane se kayi or bhi bimariyan ho skti hain.

Dhanyawad.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Piles Treatment treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details