Piles And Its Treatment
Hi, I am Dr Deepak Rathi, Ayurveda. Aaj me aapko piles ke bare me btaunga. Is problem me patient ko bhut pain hota hai. Isme patinet ko bleeding, pain or kabhi kabhi masse bhi bahar aane lgte hain. Isme swelling aa jati hai. Isme wound ho jata hai and bleeding bhi hoti hai. Ye external and internal problem hoti hai. Isme aap medicines le skte hain ya fir surgery kra skte hain ya fir ayurvedic sharsutra therapy le skte hain. Is therapy se is disease ko manage and control kia ja skta hai. Isme bleeding and pain ki problem 7-10 days me hi control ho jati hai. Isme internal masse shrink bhi ho jate hain. Surgery major hoti hai jisme apko anesthesia dia jata hai. Logon ke liye ye ayurvedic therapy boon hai. 3-4 days me ye thread shed off ho jata hai. Ayurvedic medicines se roots bhi khtm ho jati hain is disease ki. Is disease ko control krne ke lia aap constipation ko control rakhein. Iske alwa pani jyda piyein. Fibre rich diet lein. Fruits and vegetables jyada lein. Fast food and maida kam khayein. Fried chizen na khayein. Agar apko koi information chaiye to aap mujhse Lybrate ke through contact kr skte hain. Thank You.