Piles & Fissure - All You Must Know!
Hello,
Mein Dr. Naveen Chauhan. Aaj mein apke samne kuch pile and fissure, inn do beemariyo ke baare mein discuss karunga, sankshep mein. Piles jo hai hum sab iss baare mein waquif hai ki piles ek aisi beemari hai jo bahut kashtkari hoti hai logo ke liye aur iske kaaran aur symptoms aur iska treatment ke baare mein charcha karne ja rahe hai. Piles jisko hum samanya bhasha mein bavasir bhi bolte hai, ye ek aisi beemari hai jisme mareej ko letring karte samay takleef hoti hai, ya toh dard hota hai ya toh bleeding hoti hai, bleeding piles ka main symptom hai jo dard wala jo hai vo dusri beemari hoti hai jisko fissure bolte hai vo uska main symptom hai. Toh ye jo hai aniyamit khaanpan ki wajah se, jo fast food, junk food jyada khate hai unko jyada hoti hai, aur jo neend kam lete hai aur jinka lame time tak sitting hai matalb sedentary life hai, exercise wagaira nahi karte toh ye ek karan hai jiski wajah se digestive system weak ho jata hai aur ayurved ki bhasha mein isko kahe ki agni mand ho jaati hai toh uss se ye piles develop ho jaate hai anal region mein uske masses hote hai, veins hoti hai basically vo swell kar jati hai aur uss se bleeding hone lagti hai ruk ruk ke, agar vo pain ke sath bhi ho sakti hai aur painless bhi ho sakti hai toh jyadatar piles ki jo bleeding hoti hai vo painless hoti hai.
Toh iski agar hum treatment ki baat karein piles ki toh ayurved mein iska bahut acha treatment available hai. Ayurved mein humare paas aisi aushadhiya, dawaiya humare paas available hai jo piles ko, bleeding ko control karti hai rok sakti hai. Uske alawa digestion ke liye humare paas bahut sari dawaiya hai jaise chitrakadi vati, agnitundi vati aur peit thik karne ke liye trifla churn wagaira hai, panchstab churn, abhyarisht wagaira hai. Vo shuruwati awaathao mein unko dete hai toh unko bahut ache parinam milte hai. Piles ki alag alag degrees hoti hai, 1st degree, 2nd degree 3rd degree, 4th degree. Normally second degree tak piles jo hai vo dawaiyo se thik ho jata hai, aur gar kisi ka aur advanced stage pe hai ya purana ho gaya hai toh hume surgery ya ksharsutra chikitsa ki jarurat padti hai. Ksharsutra chikitsa jo hai vo ayurved ki ek chikitsa hai, ek dawai ka sutra hota hai, dhaga hota hai usko ayurvedic dawaiyo ka lep karke taiyar karte hai hum aur vo unn naso mein ek ek karke bandh diya jaata hai 5-7 din mein vo apne aap kat ke nikal ke gir jata hai. Toh post operating thoda care karni padti hai. Lagbhag 15-20 din lagte hai, patient poori tarah thik ho jata hai. Toh ye piles la sankshep mein hua, mein aap sabse discuss ek baar jarur kahna chahunga ki agar apko kabhi iss tarah ki problem hoti hai toh aap quack ya fir jo non-qualified doctors hai unke paas na jaake aap qualified ayurved doctor ke paas jayein, taki apko iska sahi tarike se nidan aur chikitsa apko mil sake.
Thank You!