Pimples - Know More About It
Hi,
I am Dr. Ipshita Johri, Dermatologist. Aaj mein aapse pimples ke baare mein baat krungi. Pimple, acne ya zits jise kehte hain, ye bohut hi common problem hai. Ye aap ke face pe blackheads ya whiteheads ke through start ho sakta hai. Jiske baad ye red bumps me ban jata hai. Kayi baar ye painful bhi hota hai and pus bhi develop hota hai. So, pimple hone ki vajaha ho sakti hai oily skin. Excess oil hone ki vajaha se basteria banne shuru ho jaate hain. Dusri vajaha hoti hai dandruff ya seborrheic dermatitis. Ismein aapke scalp, back, chest and arm mein bhi acne ho sakte hain. Aap ko dhayan rakhna hai ki agar aap ko dandruff hai and forhead pe dandruff aa raha hai toh ye seborrheic dermatitis ka ek symptom ho sakta hai. Tisri vajaha ho sakti hai hormonal issues ya PCOS. Agar aap 25 above femal hain and aap ko teenage mein acne nahi aaye aur ab acne aa rahein hain toh aap ke liya ek vajaha hormonal issue ho sakta hai. Jiska result ultrasound se mil sakta hai. Kayi baar irregular period hone se face pe acne aa sakte hain aur iski vajaha hormonal issue ho sakti hai.
Homonal issue ki vajah se acne aap ko lower face and chin pe effect karte hain. Tisri vajaha ho sakti hai dry skin. Bohut logon mein dry skin ki vajaha se bhi acne aate hain. Kyuki unka skin ka barrier destructive hota hai. Skin me jo protective or moisture layer honi chahiyai, vo nahi hoti. Agar aap access scrubs karte hain toh bhi aap ke skin pe acne aa sakte hain. Cosmetic products are the biggest reason for acne. Agar aap bina makeup removes kare sote hain toh bhi aap ko acne aate hain. So, make sure you remove your makeup every time. Kayi baar salon facial se bi acne trigger ho sakte hain. Kayi baar ek cream massage bhi ki jaati hai, ye cream aap ke open pores mein chali jaati hai jo properly remove nahi hoti. Aur clogged pores mein bacteria banna shuru ho jaata hai. Agar aap ko acne ho raha hai toh sabse badi chiz hai vajaha janna ki aap ko acne kyu hai.
Aap dermatologist se milen jo aapke skin pe acne hone ka reason find out karenge. And after this we will prescribe you products which will suit to your skin. Facewash, moisturizer and sunscreen bohut jaruri hai. Dermatologist 3 steps mein treatment dete hain. First thing is to take care of the active acne. Jo new acne aa raha hai use control kiya jata hai. Iske liya aap ko kuch creams prescribe ki jaati hain. Aap ke skin ke according facewash diya jata hai. Agar jarurat ho toh anti-biotic ka course bhi lena hota hai. Ek baar acne chale jaayein toh uske baad reh jaate hain uske marks. Scars hatane ke liya hum chemical peels ka use karte hain. Skin lightening creams ek hadh tak aap ke skin pe act karte hain. Jo deeper layer mein scars reh jaate hain unpe chemical peels ache se kaam karte hain. Caron laser bhi bohut acha option hai for skin lightening and to remove the acne marks.
Acne ke baad acne scars ka treatment diya jata hai. Aapne dekha hoga ki acne jaane ke baad acne scars rehe jaate hain and kuch gadhe bhi reh jaate hain. Gadhon ke liya Co2 laser ya fir fractional laser, MNRF laser use kia jata hai. Ye laser technology skin resurfacing pe kaam karta hai. Ye aap ke skin ke collagen form karate hain. Collagen aap ke skin ka ek criss-cross protein fibre hai jo un gadhon ko bhar deta hai. Agar aap ko aur koi bhi doubt hai toh aap communicate kar sakte hain. You can take an online consultation through Lybrate.
Thank You!