Polycystic Ovarian Disease (PCOD)
Hello everyone,
I am Dr. Neha or aaj hum log polycystic ovarian disease ke baare mein baat karenge jisko hum log PCOS ya PCOD naam se bhi jante hain. It's a basically hormonal disorder jis ke andar ek female body ke andar male hormones ka excessive production ho jata hai jiske kaaran hame kafi symptom dekhne ko milte hain jaise ki menstrual disturbance ho gayi, infertility ho gayi, acne ho gayi, beard aur hair ka production hone lagta hai, excessive hair loss hone lagta hai body se, leucorrhea hone lagta hai females ko generally. Agar ye symptoms kafi lambe samay tak persist kar jate hai body mein to it can lead to a certain disease jaisi ki diabetes ho sakti hai, heart issues ho sakti hai aur agar hum iske treatment ki baat karein to generalized way mein agar hum dekhe to hum sabse pehle hum log patient ko recommend karte hai uske life pe focus karne ke liye, uske life lifestyle pe hum change karte hai jaisi ki use recommend karte hai exercise ke liye, yoga ke liye, uska diet control kiya jata hai, diet manage kiya jata hai aur agar is tareeke se hum log uska weight control kar lete hai to hum log menstrual ko regulate kiya jaa sakta hai aur baki symptoms bhi disappear ho jate hai.
Aur agar medications ki bat karein hum log to allopathy medications ki taraf dekhein to, these are the goal-oriented treatment. Iske andar basically hum log dekhenge ki patient ki kya age hai. Agar she is unmarried to hum pehle dekhenge sabse pehle hamara focus hoga uske mensus pe ki vo regular hai ke nahi. To agar regular nahi hai to sabse pehle usko control kiya jayega, usko regulate kiya jayega. If she is a married woman to hum log pehle uska infertility rate check karenge kitna hai, usko control karenge, uske mensus ko regulate karenge aur agar aisi conditions nahi hai to hum log kya karenge normally kya hota hai iske andar birth control pills di jati hai, antidiabetic pills di jati hain taki ye hormones ko fix ye hormones ka fixation kar sake aur inhe achcha result de sake. But inke result assured nahi hote aur agar hum homeopathy treatment ki baat karte hai, these are the symptomatic treatment. To iske andar koi side effect nahi hota, ye goal oriented nahi hote aur sabse badi baat hai these are the result oriented treatment to I'll suggest you to go for the homeopathy treatment.
Thank you!