Polycystic Ovarian Disease (PCOD)
Hi,
I am Dr. D.S. Rathi, Ayurveda. Mein aaj aap ko pregnancy related problem ka bataunga. PCOS ek major problem hai jis se pregnancy mein issue aata hai. Ye ek hormone imbalance hone ki vajha se PCOS hota hai. Is se ovary mein swelling and ganthe ho jati hai. Iske symptoms hain irregular or heavy menses, gaps in menses. Facial hair ka hona. PCOD ke diagnosis ke liye humein ultrasound ki jarurat padti hai jis se cyst ka pata chalta hai and swelling ka bhi pata chalta hai.
Jarurat padne pe hum hormone test bhi karvate hain. PCOS ke risk factors hain diabetes, obesity, thyroid. Ye genetics bhi aa jata hai. Ayurveda mein iska successful treatment hai. 3-6 months mein menses regular hone se hormones balance ho jate hain and aap ki dusri problems bhi thik ho jati hai. Apko kuch precautions bhi lene hote hain like diet, healthy lifestyle and exercises. Aap mujhse contact kar sakte hain kisi bhi query ke liye Lybrate ke through.
Thank You.