Polycystic Ovarian Disease (PCOD)
Hello Friends!
Me Dr. Gayatri Juneja, senior gynaecologist. Me urine problems ka bhi treatment deti hun. Jaise ladies ko urine leakage ka problem hota hai. Aaj me apse ek common problem ke bare me baat krungi. PCOD. Mere paas 8-10 patients aate hain jinko menses me problem hoti hai. Unko weight gain ka complaint bhi rehta hai. Facial hair, acne hote hain. Sabko ye problem dietary habits se hota hai. Obesity ek bhut bda reason hai.
PCOD se obesity hoti hai and vice versa. Sabse important hai ki hum apni diet ka dhyan rkhen. Fast food kam khayen. Ek healthy lifestyle jeeyein. Jo kam diet and healthy lifestyle kar skti hai vo medications nhi kar skti. Medicines are meant to help us out not to work for us. I can guide you that how should you live your life. Aap kam se kam stress len. Mother ko apne bache ka khana peene ka dahyan rakhna chahiye. Jab tak life thik nahi hogi, ye sari bhimariyan aayengi. PCOD se not only menses but blood pressure, cholesterol, joint pain ka bhi problem hota hai. Jaise hi ek ladki teenage me aaye, use counseling jarur de. Agar bache ko periods thik nahi ho rahe hain to use neglect na kren. Kayi bar bacha chid chida ho jata hai to uske khane peene or hormone me problem ho skti hai. Kisi bhi chiz ko lightly na len. PCOD me healthy lifestyle sabse important hai. Agar aap kuch janna chahte hain to aap mujhse Lybrate ke through contact kar skte hain.
Dhanywad.