Polycystic Ovary Disease (PCOD)
Namaste,
I am Dr. Shiwani Agarwal, Gynaecologist. Aaj hum baat krenge PCOS ke bare me. Is bimari me hormones ke sath sath metabolism bhi gadbad ho jata hai. Ovarian me cyst hone ka reason PCOS hmesha nhi ho skta hai and vice-versa. Isme male and female hormones ka problem ho jata hai. Female body me hmesha thode male hormones and female hormones hote hain and vice versa with male. Ye bimari 12-45 ke age group me commonly pay jati hai. Iska eaxct cause nhi pta hai. But ye genetically bhi ho skta hai. Obese women me ye problem ho skti hai. Diabetics women ko bhi pCOS ho skta hai. Iske kya symptoms hain?
Ye symptoms person to person vary krta hai. Excessive oily skin, dandruff, pimples, hair fall, irregular and delayed periods, infertility ye sare iske symptoms hain. PCOD ko kaise aap prevent kia ja skta hai? Ye disease curable nhi hai. Self diagnosis na kren. Apko Dr se consult kren apni problem ke lia. Is disease ko aap control kr skte hain. Ye day to day life ko disturb krta hai. Lifestyle me apko 3 chizen smjhni hai. Diet, exercise, and stress level. junk food, alcohol, smoking, late night sleeping avoid kren. Stress lene se apka weight gain hota hai. Apne aap ko khush rkhiye taki aap PCOS control kr sken. Apko diet me 4 chizen dhyan rkhen. Maida completely avoid kren. Sweets avoid kren. Fruits khaiye quki juice me fibre nhi hota hai. Fried food avoid kren.
Thanks!