Polycystic Ovary Syndrome (PCOS)
Dietary Tips to get rid of Polycystic Ovary Syndrome (PCOS)
Hi, I am DT. Sheela Suhag Seharawat, Mentor Diet Clinic. We are in this field since 11 years and treating so many therapeutic patients, adn specially aajkal jo young girls mein ya ladies mein jo ek main problem aa rahi hai wo hai PCOS. PCOD ki kaafi problem aa rahi hai, basically wo start ho jaati hai 15yrs k baad, and PCOD is a hormonal imbalance jis se ki aapke body mein kaafi changes ho jaate hai jo ki aapke weight gain me bhi problem karti hai. So, PCOD ko treat karne k liye definitely aapko ek Gynecologist ki help leni padegi but saath mein aap apne diet ko healthy karke PCOD ko kaafi hadh tak treat kar sakte ho. Qyunki PCOD aur weight loss both are directly realted.
To first of all aapko PCOD control karna hai to aapko apna weight control karna padega and uske liye kuch points aapko apne mind mein rakhne padege. Jaise ki aap PCOD k liye sab se pehle processed food ko na bolein because processed food jitne bhi hotein hai wo aapke hormone imbalance ka problem karega to better hai avoid processed food. Second thing PCOD k liye aap ko apna weight cut down karna padega. Weight k liye aap ko jo main tips, aap k dietician provide kar sakte hai ya aap ko like high fibre diet, low carbs diet, high protein diet wo humein mind me rakhna padega. PCOD k liye humein aapne carbohydrate ko definitely apne diet mein ek controlled way se lena padega. Carbohydrate ko hum jitna low rakhege apne diet mein utna humara PCOD mein wo benefit rahega. Carbohydrate lo but kosish karo wo aap protein k sath lene ki to wo aap ka zyada beneficial rahega.
PCOD k liye aap refined flours ko jitna aap k diet se avoid kar sakte ho utna behtar hai. Refined flours mein jaise suji, maida, jo bhi aap k bahar k junk foods hai un cheezo ko aap jitna avoid kar sakte hai utna aapke liye behtar hoga. And PCOD k liye ek main cheez jo mai definitely aapko bolungi wo hai kam se kam 20-30min ki walk agar aap daily routine me include kar sakte ho to wo aap k liye bohot hi faaidemandh sidh hoga. For further queries you can just connect to us at Lybrate, you can call us, you can text us and you can book an appointment as well.