Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Premature Ejaculation

Profile Image
Dr. Shirish C MaldeSexologist • 31 Years Exp.MD, BHMS
lybrate_youtube

Get rid of Premature Ejaculation

Namashkar Mitron! Main Dr. Shirish Malde, sexologist, Mumbai se. Aaj apko purusho ko satani wali ek sabse badi samsya ke barey mein kuch maarg darsan dunga. Yaun sambandh mein yeh ek common samasya kahi jaati hai, yeh hai premature ejaculation yah shighra patan. Iska definition aap agar dekhogey toh thoda sa lambi chaudi hogi lekin agar short mein kahey toh premature ejaculation uss samasya ko kehte hai jaha vyakti ka virya skhalan who jab chahta hai ussey jaldi ho jata hai aur uss wajah se woh vyakti ka aur uske partner ka yaun samadhan nahin ho pata hai, isss samasya ko hum premature ejaculation kehte hai. Waise iss samasya kko agar hum thoda detail mein janna chahey toh clinically hum iss samsya ko 3 bhaago mein divide karte hai,

Grade 1 hai orgasm before entry, orgasm yani ki virya skhalan hona. Kuch vyakti o ki yeh samasya itni badi hoti hai ki yoni se prabesh karne se pehli hi skhalit ho jatey hai.

Grade 2 mein aisi vyakti hoti haijinka virya skhalan yoni prabesh ke baad turant ho jata hai.

Grade 3 mein aisi vyakti hotey hai jo yoni pravesh kar patey hai thoda sa thrusting bhi hota hai lekin who zyada samay tak virya ko nahin rok patey hai aur skhalan ho jata hai.

Yeh teeno catagry mein vyakti ka samadhan nahin hota hai naa hi unka partner ka samadhan hota hai. To hiss tarah se vyakti agar kabhi iss samsya ko lekar ke humarey paas aati hai toh hum detail History mein jaan kar ki who kaunse grade mein hai yeh pehle pata karte hai phir usko ilaaj ke liye bataya jaata hai. Aksar hum dekhte hai kaafi log iss mein apne taraf se kuch na kuch treatment karne ki kosish krte hai, yaani kuch logo ne dekha hai ki koi cream yah spray use karte hai jissey thoda sa faida hota hai. Yeh cream anesthetic cream, gel yah spray hota hai jissey ling ka bahari hissa sunn ho jata hai wahan koi sensation mehsus nahin hota hai. Iss wajah se kuch logo ko faida hota hai.

Kuch log sambhog ke samay dhyan ko dusri taraf khichte hai taa ki unke uttejana kam ho jaye. Kuch log alcohol ka use karte hai ta ki alcohol ki affect se uttejana mein thodi kami ho jati hai. Kuch log sambhog se pehle hasth maithun ka upyog karte hai. Aur kuch log sambhog ke waqt condom ka istemaal karte hai, taki ling ka direct contact na ho aur uttejjana kam ho jati hai. Toh yeh sab aisa treatment hai jo hamesha upyogi nahin hoti hai. Kabhi kabhi ksii vyakti ko thoda sa faida agar de deti hai lekin kayam swarup se faida nahin de paati hai, toh yeh sab treatment yeh samsya ke liye mein koi zyada faida nahin krti hai.

Aksar yeh samsya ke liye koi test ki zarurat nahin hoti hai, koi laboratory investigation ki zarurat nahin hoti hai, aur iss mein control develop karna yeh vyakti ke liye ek seekhne wali cheez hai. Aksar kuch log jab kaafi arse ke baad sex karte hai, jaise job ke liye kahin bahar rehna, parivar se door rehna aise vyaktio mmein bhi shuru mein premature ejaculation ki samasya reh sakti hai, lekin jab niyamit roop se partner ke sath raha jata hai tab yeh samsya nahin rehti hai. Kuch log vivah ke purv laingik sambandh banate hai unlogo ki kabhi kabhi yeh samsya hoti hai. Kyun ki agar privacy sahi nahin hai aisi tension wali paristhitio mein bhi vyakti ka premature ejaculation ho jana swavabik hai. To hiss samsya ke do karan hai ek ling mein samvendanshilta zyada hona, yah vyakti ka threshold kam hona yani who sex ki uttejna zyada der tak bardast nahin kar pata hai aur thodi si uttejna mein hi usko virya skhalan ho jata hai.

Abb hum treatment mein dekhengey, toh iska treatment medicine se bhi sambhab hai, aur medicine se agar accha response milta hai, vyakti ka samay badh jata hai toh behavioral therapy ke zariye lambe arsey tak control develop kar pata hai. Medixine mein kuch log anesthetic gel yah spray ka istemaal karte hai, kuch medicines hai jo vyakti ko virya skhalan rokne mein madad deti hai yah rare cases mein ling mein lene waley injections se bhi faida ho sakta hai. Yeh hum dekh rahey hai behavioral therapy hai (displays on computer screen). Jissey stop and start technique yah squeeze method kaha jata hai. Iss mein vyakti kya karta hai ki jaise hi uttejna purn paristhiti nirmaan hoti hai vyakti ko beech mein yah toh stop hona hai, yah squeeze de kar ke uttejna kam karni hai ta ki uska virya skhalan ka samay badh sakey. Toh yeh jo shighra patan yah premature ejaculation ka samsya hai iss mein medicine ke zariye yah behavioral therapy ke zariye iss mein control haasil kiya jaa sakta hai.

Iss ke barey mein adhik jaankari ke liye aap mujh se Lybrate.com par sampark kar sakte hai. Dhanyabaad.
 

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Premature Ejaculation treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details