Premenstrual Syndrome
Namaskar, Main Dr. Rahul Chandok, Psychiatrist in Fortis Hospital and apne Med Hope Clinic, Faridabad me practice karta hun.
Me last 17 years se practice kar raha hun. Aaj me premenstrual syndrome ke baare mein baat karunga. Ye problem ek lady ko every month face karni padti hai. Is problem ki vajah se 1 week periods se pehle ladies ko mentally problem hota hai jahan vo irritated feel karti hain.
Iske symptoms hain irritation, bloating, appetite change, sleep disorder. Patient ko samajh nahi aata hai ki ye har mahine kyu hota hai. Blood flow start hote hi ladies normal ho jati hai. Ye sab problem aapke hormones se related hoti hain.
Apni diet and sleep ka proper take care karen. Kuch cases mein ye problem severe ho jati hai. Kayi bar vo khud ko harm pahunchane ki koshish karte hain. Aise me hum unhe treatment dete hain taaki unhe every month ye problem face nahi karni pade. Iske liye medicines available hain and treatment kaafi successful hai. Dhanywad.