Problem-Related To Ears
Hi,
I am Dr. Rajeev Arya, MBBS, MS, ENT specialist. Mera aj vishya hai kaan k bare me. Kaan ka behna, kaan kyu behta hai? Kai bar bachchon me janam se he kaan me problem ati hai. Maa k pet se he kai bar kaan behna shuru hojata hai kyunki usme kaan me kai bar congenital cholesteatoma hota hai. To vo jaise he bachcha paida hota hai uske kuch din baad kaan me infection, kaan ka behna shuru hojata hai or bade bachchon me kaan ka behna kai baar, baar baar jukham hona, adenoids ki problem, tonsils ki problem se bhi hota hai. Or un bachchon me infection jukham ka infection gale se kaano me chala jata hai. Or bado me bhi kaan behte hai. Kai baar chot lagne se bhi kaan behta rehta hai.
Kai baar kaan ki samasya jada baar behne se samasya jada gambhir hojati hai. Kai baar kaan me haddiyan galne lagti hai, jiski vajah se kai baar medical emergency hojati hai or surgical emergency bhi hojati hai. Or kai baar kaan me behne se dimag me infection bhi jane ki sambhawna bani rehti hai. Yeh un cases me hota hai jahan kaan bahut jada behta hai ya kaan me haddiya galne lagti hai or haddi k galan se kaan se infection dimag me pahuch jata hai jaha k ilaaj kai baar sambhav hona mushkil hojata hai. Usme kai baar neuro-surgeon ki ka bhi role hota hai, kai baar pus nikalni padti hai dimag se bhi, kaan ki vajah se. Or kaan k operation hote hai. Isme kaan k parde lagane ka hota hai jisko Myringoplasty bolte hai or kaan me kai baar haddiyan galti hai usme Tympanoplasty hoti hai or kai baar jada haddi galne pe Mastoidectomy bhi hoti hai, jisko Trypano Mastoidectomy kehte hai. Inn operation se kaan bikul theek hojate hai or kaan ka behna ruk jata hai or kaan ke behne se kaano me sunai ki kami ajati hai or sunne ki shakti kam hojati hai or vo bhi restore hojati hai.
Thanks!