Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Prostate - What It Is?

Profile Image
Dr. Madhav Shyam Nano Homeopathy DelhiHomeopathy Doctor • 33 Years Exp.BHMS, MBAHCS, B.Sc. in Biology
lybrate_youtube

Hello,

I am Dr. Madhav Shyam, Homeopath.Today I will talk about prostate ke baare mein. Jaisa ki hum sabko malum hai ki prostate ek male organ hota hai jo hum purshon mein hi paya jata hai. Prostate humare mutrashaye ke thi niche aur jahan se urethra shuru hota hai, vahan paya jata hai. Iska kam hota hai urine flow ko maintain karna aur prostatic fluid ka formation karna hai. Ye iska kam hota hai Jaisa ki hum baat kar rahein hain toh iske agar hum causes dekhein toh jaise jaise age badhti hai hai vaise vaise preshani badhti rehti hai. Prostate ke size mein cells ki growth badh jaati hai.

Jaise jaise ye narrow hota hai vaise vaise problem badhti rehti hai. Iske symptoms hain painful urination, humko urine pass karne mein time lagta hai, urine ruk ruk kar ata hai, testis mein pain hota hai. Agar prostate mein BPH hai toh humein dhyan rakhna hai ki constipation na ho. Agar diaetic hai toh sugar proper control mein hona chaiye. Dusra humein urine ko bahut time tak rokna nahi chaiye. Agar urine ka flow proper nahi hoga toh kidney mein issue aa jayega. Toh humein bahut time tak urine hold nahi karna hai. Use clear rakhna hai. Is se humara proper urination hota rahega. Kuch investigations hain jo bahut important hain. Ultrasound karna hota hai. PSA level check karna hoga. Humein dekhna hai ki medication pe rehna hai ya surgical.

Hum ye dekhte hain ki prostate ke 60% logon ko BPH ki problem hoti hai. Unmein se 70% log aise hote hain jo medications se recove ho jaate hain. Agar aap ko aisi koi bhi problem hai toh aap homeopathy medicines le sakte hain. Humare pass alag alag medicines hain jo patient to patient vary karti hai. Agar aap ko prostate ki koi problem hai toh aap nearby Dr se milein aur apne lia treatment lein. Aap mujhse bhi consult kar sakte hain lybrate ke through.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Prostatitis treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details