Psychiatric Disorders
Know more about Psychiatric disorders
I am doctor Paresh Trivedi, I am a consultant psychiatrist and sex therapist. 21st Century is actually the Century for psychiatric disorders. Depression, anxiety, insomnia, psycho sexual problems and other psycho somatic disorders constitute the main chunk of the disorders that we commonly see in our clinical practices.
Udasinta, Nairashya, anxiety yaani ki bechain ho janey ki bimari, yeh sab bimariya plus psycho sexual bimariya jin mein sharirik problem hotey hai lekin mann se unka rishta hotey hai iss type ki bimariya, yeh sab bimariyo ki treatment hum karte hai. Main 21 saal se iss field mein hu aur main treatment kar raha hu iss bimariyo ki. Koi bhi vyasan ho uski bhi treatment hoti hai, vyasan chhurane ki provided that apka ghar ke family member yah koi jaankari ka friend, rishtedaar, koi bhi unki taiyari honi chahiye. Humare yaha psychologists bhi aatey hai, counselors bhi aatey hai aur hum poori testing wagera karte hai, patients ke sessions lete hai. Aur specialized sessions bhi jab jab koi koi bimari ke liye lagte hai who bhi lete hai.
Hamarey yahan EEG testing hota hai, jis mein brain ka mapping hota hai, jaise ki cardiogram hota hai. Aur psychological testing bhi hota hai, jaise ki buddhi matta ki jaanch. Bimariyo ki supporting test hoti hai kuch kuch, who jaanch. Toh yeh saarey problems ke barey mein mere clinic mein testing hoti hai.
Aur adhik jaankari ke liye aap mujhe sampark kar sakte hai Lybrate.com pe. Thank You.