Refractive Error & Myopia
Hello, I am Dr. Anisha Seth Gupta, Ophthalmologist.
Aaj main aapko refractive error ke baare mein bataungi. Main aapko myopia ke baare mein bataungi. Eye ke aage ke black portion ko cornea kehte hain. Uske piche lens hota hai. Last mein retina Hota hai. Jo bhi image banti hai apki retina me vo optic nerve ke through brain me transfer hoti hai. Brain us image ko read krta hai and fir hum identify karte hain.
Jinko specs laga hota hai unhe specs ke bina kyu nahi dikhayi deta hai. Agar eyes size mein choti hoti hai to uska focus piche banta hai. Jab hum specs lagate hain to humein image clear visible hoti hai. Jinko myopia hota hai, means door ki nazar weak hoti hai unki aankhein badi hoti hai. Isme roshni ka focus pehle aata hai. Astigmatism bhi ek refractive error hai. It might be there in the eyes with plus and minus number. Isme cornea perfect shape nhi hota hai. Retinal detachment hone ka bhi risk ho skta hai.
Jaise hi aapka number increase hota hai myopia ka vaise hi aapki aankhon ki wall bhi patli ho jati hai. Isme central ka part generally thik hi rehta hai. Thin area ko hum lattice kehte hain. Unme kaafi hole banne lag jaate hain. Iske symptoms hai floaters ka visible hona which might be black and white in color. The 2nd symptom is flashing. Ye flashes dekhne me jyada problem create nhi krte hain. Jab pani upar se niche aa jata hai usay retinal detachment kehte hain. Usay thik krne ke lia hume surgery krni pdti hai. In holes ko band krne ke lia hum surgery krte hain.
Isay prevent karne ke liye kya karna chahiye. Isko hum laser se band kr dete hain. Ise pani andar nhi jata hai. Ye problem high minus numbers me jyada hota hai. Iske aise koi symptoms initial stage pe visible nhi hote hain. Rest apko jaise hi floaters or flashes visible hote hain, aap immediately Dr ko dikhayein. Agar apko number 2-2.5 se upar hai to aap apna eye ka parda ka test saal me ek baar jrur krayein so that apko retinal detachment se bachaya ja skta hai. Retina regularly check krate rhen. Thank You.