Rejuvenation Of Skin
Hi,
Me Dr. Ajaya Kashyap, Cosmetic/Plastic Surgeon. Last 25-30 years se plastic and cosmetic surgery kr rha hun. Cosmetic and plastic surgeries me kafi improvement ho rhi hain. Minimally invasive techniques bhut improve ho rhi hain. Face rejuvenation ke lia botox bhut famous hai. Apke face pe jo bhi wrinkles hain vo botox se htayi jati hain. Fillers apke face pe jo bhi gadhe hain unhe fill krne me help krte hain. Is se apke face ko lift bhi kia jata hai. Ye 1-2 years tak apke treatment chalte hain. Uske baad dubara krane pdte hain. Thread lift ek procedure hai. Isme thread se apki skin ko khich dia jata hai. Thread lift bhi apka 1-2 saal tak chalta hai. Kuch thread aise bhi hote hain jo reaction krte hain.
Non-surgical rejuvenation me heat, radio frequency, ultrasound and laser se treat kia jata hai. Hum chemical peel and dermabrasion se treatment dete hai jis se new skin ati hai. Therma needle se apki skin ko andar se tight kia jata hai. Apko apna fat dia jata and PRP treatment dia jata hai. Ise hum pure face me inject krte hain. Hum face ke muscles weak ya strong kr skte hain. Ab question ye hai ki log surgery ke lia kyu jate hain. Isme downtime kam hai and jldi procedure ho jata hai. Eyes ko bhi hum thik kr skte hain. Eyelid ki shape ko improve kia ja skta hai. Jinhe surgery ki jrurat nhi hai unhe rejuvenate krne ke bhut tarike hain. Islai aaj kal non-surgical procedures ke apni value ban chuki hai aaj ki date me.
Thanks!