Risk Factors Of Diabetes And How To Be Aware Of Them
Hello Friends!
I am K K Goyal from Kavya Diabetes Clinic, Hum apko aaj madhumeh ke baare me btana chahte hain. Madhumeh ko diabetes ya sugar bhi kaha jata hai. Yeh kai parkar ka hota hai jaise type 1 diabetes, type 2 diabetes and gestational diabetes. Inme sabse common jo hai vo type 2 diabetes hota hai. Type 2 diabetes adhiktar bade logon me hota hai jaise 30 saal ki umar ke baad me jo hai type 2 diabetes paya jata hai. Type 2 diabetes bhut hi common hota hai.
And type 1 diabetes jo hai vo kam umar ke logon me paya jata hai. Agar isko control na kren diabetes ko to kidney failure, blindness is tarike ki samsyain jo hain vo aa skti hain. Iske main symptoms hain jyada pyas lagna, Jyada bhuk lagna, vajan ka tezi se ghatna baar baar peshab aana, ghaav ka na bharna. Is tarike se iske symptoms aate hain. Apko iske andar clean diet leni hai diabetes ke andar. Apko bahar ka junk food nhi khana hai jaise burger, pizza vagera jo hai vo avoid krein. Iske andar maida avoid kren aap. Maida nhi khana hai.
Cheeni or sheetal jo pay pardarth hote hain jinke andar chini ki matra sabse jyada rehti hai, usko apko avoid krna hai. Isi tarike se aap diabetes se bach sakte hain or healthy lifestyle apnana hai. Niyamit exercise kren. Yogasan kren. Physical activities ko badhayein. Saaf paani or khane ka upyog krein. Mithiyan, murabba, cake ye sab chizein apko avoid krni hai. Baki Agar apko kuch bhi diabetes ke baare me pata krna hai, control krna hai, diabetes apke control nhi ho rhi hai, sugar level bhut jyada aa rha hai, 300-400 is tarike se aa rha hai, dwaiyan aap kha rhen hain lekin kam nhi kr rhi hai, to aap hmare yhan aaiye or consultation kraiye.
Thank You.