Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Feb 20, 2023
BookMark
Report

Schizophrenia

Profile Image
Dr. Milind BarhatePsychiatrist • 20 Years Exp.DPM, MBBS
lybrate_youtube

Hello all,

I am Dr. Milind Barhate. Main ek manochikitsak Vasai mein practice karta hoon. Aaj hum schizophrenia bimari ke bare mein baat karne wale hain. Schizophrenia kya hai. Schizophrenia bohot common bimari hai ye lagbhag ek taka population mein paayi jati hai. Agar India ki population 135 koti hai iska matlab 1.35 crore logo mein ye bimari paayi jati hai. Duniya ke koi se bhi kone mein koi se bhi desh mein lagbhag ek taka population mein ye bimari payi jati hai. Ye bimari kyo hoti hai? Iske bohot saare reason hai kabhi-kabhi ye bimari genetic problem ki vajah se bhi hoti hai, agar maa-baap mein, bhai-behno mein, chacha-mama-mausi agar kisi mein agar bimari rahati hai to ye bimari bacchon ko hone ki sambhavna badhti hai, kitni badhti hai? agar ghar mein kisi ek ko bimari hai to 1 se 10 tak ka chances rehta hai ki bacchon ko ye bimari ho sakti hai. Genetic ke alawa bohot sari cheezein hai environmental pressure iske karan bhi schizophrenia naam ki bimari ho sakti hai. Pregnancy ke dauran ladies mein aane wale hormonal changes uske karan bohot sari auraton ko schizophrenia ya psychosis hota hai iske alava jo log nasha karte hain alcohol, ganja, charas, drugs iske karan bhi schizophrenia bimari hoti hai. Kuch logo ke swabhav mein vikriti rahti hai unko bhi ye bimari ho sakti hai.

Ye bimari ke lakshan kya hai? Ye bimari bohot common hai shuruaat mein bohot sare log gum-sum rehte hain, akele-akele mein rehte hain, kisi se baat nahin karte, ghar ke ander mahin-mahin or salon-salon tak rehana, darwaza khidki avam pankha yahan tak log band karke rakhte hain kyunki unke dimag mein shak aata hai, schizophrenia bimari mein aksar logo ke mann mein shak aata hai unko aisa lagta hai ki koi ados-pados wala unke bare mein baatein karta hai iska matlab unko delusions hota hai. Delusion matlab unko shak aata hai ye alag-alag prakar ke rehte hain delusion. Delusion of reference, bahar ghumne jate hain to koi meri taraf dekhta hai, mere bare mein baatein karta hai, mera follow karta hai, agal bagal wale log, ghar wale log mere bare mein baatein karte hain isko delusion of reference bolte hain. Delusion of persecution, kuch log mujhe haani pahunchana chahte hain ya mere khane mein kuch daal ke mujhe marnaa chahte hain, mere dimag mein kuch chip lagaya hai ya ghar mein kuch camera Laga ke mere upar dhyan rakh ke mujhe nuksaan pahuchana chahte hain it's a delusion of persecution.

Delusion of love kuch log is anjaan vyakti ke sath main pyar mein padhte hain, itna Pyar mein padhte hain ki unko sahi aur galat ka matlab bhi unko samajh mein nahin aata aise alag-alag prakar ke delusions rehte hain. Hallucination (brahm), hallucination ko bharam bolte, aadmi ko bharam hota hai koi awaz sunai de rahi hain, kisi ke payal ki, kisi aadmi ki, ki log mere bare mein charcha karte sunayi dete hain, kuch deekhai deta hai, visual hallucination, auditory hallucination ye bimari akshar sabhi logon mein paayi jati hai. Sabhi jati, dharm ke logon mein aksar ye bimari 40 se 50 saal ki age mein hoti hai lekin kam umar mein bhi ye bimari dikhai deti hai to 15 saal ke baad jyadatar common logon mein ye 40 se 50 saal ki age mein paayi jati hai, jitna ye bimari late dikhai deti hai utna hi uska prognosis achha rehta hai.

Jo logo ko yehi schizophrenia ki bimari jitni kam umar mein hoti hai utna hi nahi uska prognosis bad rehta hai ye bimari ke Karan dimag mein parivartan aata hai, dimag mein, soch mein badlav aata hai, it is a thought disorder, dopamine naam ka ek chemical brain mein badhta hai jisse aadmi ki soch badal jati hai, agar yaha pen rehta hai to aadmi jo schizophrenia ka aadmi hai uski soch parivartan hoti hai usko ye lakdi ka dikhega ya snake dikhega, aisi soch parivartit hoti hai. To iska ilaaj bhi hai, iski janch bhi hai psychological testing ke dwara iski janch ki jati hai, personality testing MMPI, MCMI iske dwara iski janch bhi ki jati hai, iska ilaaj bhi sambhav hai.

Bohot se log bohot late ilaaj ke liye aate hain jo log bohot jaldi ilaaj ke liye aate jain unka ilaaj jaldi hota jai aur wo jaldi recover hote hain aur jeetne lambe samay se bimari rehti hai utna hi jyada samay lagta hai, isme bohot saari medicines bhi kaam karti hai, shuruaarti 40-50 saal pahle dawai bohot kaam thi us samay patient ko admit kiya jata tha, shock lagaya jata tha ab Itni sari nai-nai dawaiyan market mein aayi hain ki dawaio ke sahare jyadatar log theek ho jate hain, shock treatment ki bohot kam logo ko jarurat padti hai iski dawaiyan chalu karne ke baad iska asar dheere-dheere shuru hota hai 8 se 12 hafte mein dawaiyon ka asar achha dikhai deta hai. Patient 3 se 6 mahine mein kaafi recover hota hai, recover hone ke bad bhi iska ilaaj lamba chalta hai kuch patient ka ilaaj do saal kuchh patient ka ilaj 5 saal agar ye bimari bar-bar 3 se 4 bar wapas aati hai to wo patient ko zindagi bhar ke liye dawai khana padta hai. Dosto ye bimari bohot common hai 1 taka public mein payi jati hai aur iske common symptom shak lena, akele mein bad-badana, akele mein hasna, akele mein hathon ke vare karna, gum-sum rehna, biwi ke upar shak lena, ghar ke ander khud ko akela mehsoos karna, raste ka kachra pakad ke lana, jebo main ya khud ke upar dhyan nahin dena aise bohot sare symptoms hai. Dosto ya bimari ke symptoms aap mein, aapki family mein ya aapke aaju-baju mein, ados-pados mein agar kisi mein dikhai dete hain to aap kripya apne najdiki mansik rog kendra se salaha lein.

Thank you.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Schizophrenia treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details