Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Scoliosis

Profile Image
Dr. Pramod SainiOrthopedic Doctor • 17 Years Exp.MBBS, MS - Orthopaedics, FNB Spine surgery, Fellowship In Spine Surgery (AO Spine)
lybrate_youtube

Me Dr. Parmod Saini, Jaypee Hospital, Noida mein spine consultant hun.

Aaj main aapko is video ke dwaara ek common problem jisko hum scoliosis kehte hain, uske baare mein batana chahunga. Scoliosis kya hai? Scoliosis reed ki haddi ka tedapan ya kubdapan hai, jo usually hum 9-15 saal ke bachon mein dekhte hain. Ye samasya ladkiyon mein zyaada paayi jati hai.

Scoliosis mein bache ki kamar tedi ho jaati hai, saath me chhati ka pichla hissa ubhara hua hota hai , jisko hum kubdapan bolte hain. Sath me kanda ek upar and dusra niche ki taraf ho jaata hai. Or sharir ek side shift ho jaata hai. Paet ke side mein aapko ek gaddha dikhaayi deta hai.

Scoliosis ko agar starting me pakad lia jaaye , to iska ilaaj braces and exercise se hum control kar sakte hain. Kayi baar iska starting stage me nahi pata chalta hai. Or dheere dheere ye tedapan badhta hai. Bache ko kamar dard or saans lene ki samasya badhti hai. Or fir iski surgery karni padhti hai.

Surgery iski peeche se ki jaati hai. Ismein screw or rod ki madad se isko seedha kiya jaata hai. Ye surgery bahut common hai, lekin ye normal kisi bhi surgery se kaafi badi surgery hoti hai. Hamare paas kaafi aisi techniques hain , jis se ye kaafi safal or simple tarike se ki ja sakti hai. Hamare paas neuromonitoring technique hai. Is mein sabse badi chinta ye hoti hai ki surgery ke baad paer chalega ya nahi.

Iske liye hum neuromonitory technique se sharir ke kayi hisson pe chote chote lids lagate hain or computer se connect karte hain jis se hume pata chalta hai ki nerves kaam kar rahi hain ya nahi. Surgery ke kaaran kisi bhi reason se yadi reed ki haddi ya nerves pe zor padta hai, to hum surgery ko beech mein rok ke, us chiz ko correct karne ki koshish karte hain. Is se surgery ki safety kaafi badh jaati hai. Surgery ke baad jaise hi patient comfortable hota hai, usko uthna, baithna, chalna allow kia jata hai. Recovery me 2-3 months lagte hain.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Scoliosis treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details