Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Seizure Or Epilepsy

Profile Image
Dr. Sankalp MohanNeurologist • 16 Years Exp.MBBS, MD - Internal Medicine, Fellow In Pain Management, DM - Neurology
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Sankalp Mohan hoon, neurologist, Vashi, Navi Mumbai. Aaj hum baat karenge seizures ya epilepsy ki. Ab seizures kya hain? Seizures ko hum aam bhasha mein mirgi, daura, fit ya aakdi bhi kehte hain. Seizures ke lakshan kya hai? Seizure kayi prakar ke hote hain aur jis prakar ke seizure hain uss hisab se uske lakshan bhi hote hain. Commonly seizures ke seizure hone se hath pair akad jaate hain, hath pair jhatke marne lag jaate hain ya fir aapki aankhein upar chali jati hain, jaban cut jati hai, muh se jhaag nikalne lagta hai, yeh usually 2-3 minute tak rehta hai aur insaan behosh ho jata hai iske bad jo ek adh ghante tak bhi reh sakti hai. Ab kuch logo ko sirf ek part of the body yani ek hath ya ek pair mein jhatka ya akdi aati hai jise focal seizures kehte hain. Kabhi kabhi insaan sirf gumsum ho jata hai, use yaad nahi rehta hai kya hua kuch, kuch samay tak aur voh respond nahi karta hai jo absent seizures hote hain ya complex partial seizure ho sakta hai.

Ab seizures ke kya kaarand hai? Seizures jo hain chote bache se leke boodhe tak kisi mein bhi ho sakta hai, iske jo kaarand hai vo bachcho mein alag type ke hote hain aur boodhon mein alag type ke hote hain. Generally yeh kabhi kabhi jaise shareer mein sodium kam hone ki vajah se, sugar kam hone ki vajah se jo log alcohol bahut jyada lete hain unhe ho sakta hai ya koi bahut samay se alcohol le raha hai aur suddenly chord de use bhi ho sakta hai. Kayi bar hume koi kaarand nahi milta jise idiopathic seizures bolte hain. Ab epilepsy kya hai? Jisko baar baar seizures aate hain usko hum ek syndrome bolte hain vo epilepsy hota hai. Ab aam taur par jab kisi ko seizure aata hai to hum kuch tests karte hain, blood tests, MRI karte hain, EEG karte hain. Jyadatar log almost 50% log jo hai voh ek dawai se respond kar jaate hain.

Jab voh ek dawai se respond nahi karte toh unhe doosri ya teesri dawai dalni padti hai jise hum refractive seizures kehte hain. Aise mein jaroor aapko specialist ke pass jana chahiye, kabhi kabhi hume video ranging ki bhi zarurat pad jati hai aur kuch mareej hote hain kuch epilepsy syndromes aise hote hain jisme hum surgery bhi kar sakte hain jo kuch gine chune centres mein hi hoti hai. Ab important cheez yeh hai ki jab kisi ko seizure ho tab aapko use ek side letana hai taki vo aspirate na kar jaye ya choke na hojaye, doosri important cheez ye hai ki aapko uske muh ke andar koi bhi vasto nahi dalni hai jaise chamach ya fir hanky jo hum normally daal dete hain usko nahi dalna hai aur aapko turant hospital hi leke aana hai. Toh ant mein main itna hi kehna chahunga ki seizure ek aam bimari hai, kayi logo ko hota hai aur log jo hai isme ekdum normal life lead kar sakte hain bus kuch precautions lene hote hai jaise driving avoid kare, swimming avoid kare ya uchaiyon pe jana avoid kare aur acha sleep le, alcohol avoid kare. Thank you. Thank you for watching this video. For more information you can contact a lybrate.com

Thanks!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Epilepsy treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details