Sex-Related Anxiety In Men
Hi,
I am Dr. Imran Khan, Sexologist. Sex se related kuch aam topics jo log share nahi kar paate aur apne dil mein rakhtein hain, mai un topics ko target karta hun. Aaj ka topic bhi bahut prevalent hai, common hai aur aam toor pe discuss nahi kiya jata. Drs iske baare mein logon ko inform bhi nahi kar paate. Mere pass multiple patients aate hain aur is tarah ki chizen discuss karte hain. Toh aaj ka topic bhi bahut sensitive hai. Mai aap ko easy language mein samajhane ki koshish karta hun. Videos aap ko sahi information pahuchane ka ek jariya hai. Agar aap ko sex se related koi bhi preshani hai toh use Dr ke sath baith kar discuss kiya jata hai.
Video se aap ko topic ka overview dia jata hai. Video se aap ko medical diagnosis nahi milta hai aur na hi private medical consultation milta hai. Jab koi ladka shaadi ke baad sex karne jata hai toh use darr hota hai ki kya vo sex kar payega. Kya mai achi performance de paunga, kya mai apni wife ko satisfy kar paunga? Is tarah ke bahut sare questions patient ke dimag mein ghum rahe hote hain. Galat chizen bhi patient ke dimag mein aati hain jiski vajaha se patient ki health bhi effect hoti hai. Ye darr ek ladke mein kyun ata hai? Mujhe aisa lagta hai ki 3 points hote hain jo patient ke liya problem karte hain. Ladka sex ko performance samajhta hai. Use sex ek challenge lagta hai and task lagta hai. Use lagata hai ki koi challenging task perform karne ja raha hai. Iski vajaha se patient ke maan mein performance anxiety aati hai. Uska asar dil, dimag pe aana shuru ho jata hai. Jabki sex performance nahi hai. Ye mohabbat dikhane ka khubsoorat tarika hai.
2nd ye thought ata hai ki sex mein kamiyab rahunga ya nahi. Ismein ladkiyon ko leke mardon ki soch dusri tarah ki hai. Unhein lagata hai ki sex mein kuch bahut bada demand karne ja rahi hain aur agar aapne unhein satisfy nahi kiya toh unke dimag mein shak aa jayenge. Jab koi aap ke ghar mein aap ki biwi banke aati hai toh unka target aap se mohabbat ka hota hai. Tisra important point hai wrong information. Jo sex se related mardon ko information milti hai vo ya toh society se milti hai ya galat doston se milti hai ya fir vo unauthorised magazine or newspaper se milti hai jo medically thik nahi hote ya fir galat Drs like hakim se infrmations aati hain jo galat information chor ke jaati hain. Kyuki ek aam adami janta hi nahi hai ki scientifically kya thik hai. Aap ko nahi btaya jaata hai ki aap healthy hain ya nahi jiski vajaha se aap ko sahi information nahi mil paati hai. Misguidance ki vajaha se patient rasta bhatak jaata hai.
Ye 3 important points hain jahan se insan bhatak jata hai and uski preshaniyan shuru hoti hain. Ab mai aap ko inka solution batata hun. Agar aap kahin fus rahein hain toh qualified Dr ko approach karein. Apne aap ko in bimariyon mein uljhane na dein. Aap ko jab bhi koi doubt ho ya koi misconception hon toh Dr se milein. Drs hi aap ki sari chizen clear karega. Agar koi aisi information hai jo qualified Dr ki likhi hui nahi hai toh toh aisi chizen online bhi na padhein. Apne level pe complaints google karna bhi sahi nahi hai. Maine dekha haiki log google pe padh ke suicide tak pahuch gaye. Dimagi toor pe vo itne bimar ho gaye ki unhein laga ki hum bimar ho gaye hain and they have attended suicide as well. Isliye qualified Drs isliye hain ki vo aap ki madad kar sakein. Toh jab bhi aisi problm ho toh Dr se milein and yaad rakhein ki sex koi performance nahi hai. Mujhe umeed hai ki sari chizen thik rahengi aur ek acha future sexual point of view se dekh payenge. Aur ek achi zindagi jee payenge. Further consultation ke liye aap mujhse consult kar sakte hain and mujhse mil bhi sakte hain. Aap online consultation bhi le sakte hain aur apni zindagi achi bana sakte hain.
Thank You!