Sexual Problems And Modern Lifestyle Diseases
Hi All,
Mumbai se sexologist Dr. Shirish Malde ka sadar pranaam. Aaj hum baat karenge yon samasya aur modern lifestyle diseases. Modern lifestyle diseases kya hai? To naam jaise batata hai modern lifestyle diseases yeh hai ki jo aapko apne lifestyle se diseases milte hain. To mitro aap samajh gaye honge mai baat kar raha hoon diabetes yane high blood sugar aur hypertension yane high blood pressure. Diabetes aur hypertension yeh do 21vi sadi ke rog hain jo logo ko apne stressful life ya lifestyle ke jariye milta hai. Vigyan ke avishkar ke sath hamari life kafi comfortable huyi hai jahan hum kheton mein pehle shareerik shram karte the vaha hum ghar mein AC ke mahool mein rehte hain, fir hum AC car me drive karke office pe aate hain, vaha bhi hum AC mein rehte hain aur na hum koi shareerik shram karte hain na kahi hum khuli hawa mein jate hai aur na hi kahi hum dhoop mein expose hote hain. To mitro yeh saari cheezon ka ek apna disadvantage bhi hai hamari life mein jisse hum normal life se vanchit rehte hai. To yeh modern life jo hai hamari stress, hurry, worry or curry yeh teen cheez isme additional damage karti hai aur iska asar jo hai seedha sex life ke upar aata hai.
Diabetes, high blood sugar jo hai yeh 5-10 saal ke baad ek research ke hisab se takreeban 50% logo ko apni sex life me baadha create karta hai aur high blood pressure jab control mein nahi hai to yeh bimari bhi kafi logo mein ling ke uththaan yane penile erection mein problem create karte hai. Ek survey ke hisab se kam se kam 60% logo ko yeh dono bimari erectile dysfunction jaisi sex problem create karti hai yane jitne patients sexual problem ke dekhe jate hain usme se 60% logo mein yeh 2 samasyein payi jati hai. To akhir hai kya yeh dono samasyaein. To sabse pehle mitro yeh samajhte hai ki diabetes jo hai ye blood mein high sugar rehne ki vajah se metabolic disease hai aur ye ek silent killer hai. Agar aapko koi lakshan nahi hai, diabetes ke koi chinha nahi hai iske bawjood bhi ye androoni shareer ko khokla banati hai, aapki blood vessels yane khoon ki naso ko aur majyatamto yane nerves ko ye kamzoor banati hai.
Similarly, hypertension jo hai ye high blood pressure aksar logo ka blood vessels ki elasticity kam kar deti hai jis vajah se erection ke waqt jo blood flow badhna chahiye vo badh nahi pata hai kyunki blood vessels elasticity kam hone ki vajah se expand nahi hoti hai. Ye dono samasyaein turant nahi lekin kuch saalo ke baad samasyaein create karti hai toh isse bachna mumkin hai. Iske liye aapko ek bahut hi achi behtareen lifestyle maintain karni hoti hai. Dawaiyon ka istemaal to apni jagah par aayega agar koi vyakti iss samasya se sex mein kuch problems mehsoos karti hai to dawaiyon ka to istemaal aayega hi lekin sath hi mein ye lifestyle disease mein correction lana bhi bahut zaroori hai, vyakti ko aisa kaha jata hai ki 24 ghanto mein se ek ghanta vo apni body ko maintain rakhne mein agar deta hai to uss vyakti ko lifestyle disease jyada problem create nahi karenge. To mitro jyada waqt nahi lunga bus itna kahunga lifestyle disease ko control mein maintain rakhiye aur agar sex ki samasyaein fir bhi agar create hoti hai to uska sahi doctor ke paas jakar ke sahi ilaaj karvayein aur apni niji sex life ko tandurast aur healthy aur joyful rakhiye. Thank you. Aur adhik jankari ke liye aap mera sampark kar sakte hai lybrate.com iske upar mai available hoon jankari le sakte hain.
Dhanyavad!