Sexuality In Older Age
Nameshkar mitro!
Me Dr. Shirish Malde, sexologist, Mumbai based hun. Aaj hum ek aisi samasya ke barey mein baat karenge jisse humari kafi population pareshan rehti hai. Humara vishaye rahega sexuality at aging. Barhti hue umar ke sath sath sex ke mayne kaise badalte hain ya sex samasiyaen kia kia asakti hain uske barey mein hum jaankari lenge. Tau doston sabse pehle tau yeh batadun ke umarab barhna yeh koi sex ke liye badhya nahi hai. Yeh ek natural process hai agr barhti hue umar mein bhi kisi bhi viqti chahe who sitri ya purush agr uske sex ki ichcha agar barkarar rehti hai tau yeh bilkul normal hai. Halanke agar ichcha nahi hai tau unko fiqar kerne ki zarurat hai. Jaise umar barhti hai sharer mein kafi badlao atay hain mansik badlao bhi atey hain tau aise mein yeh badlao kia ayenge iske barey mein agar ap koi jankari hogi tau ap jau kabhi kabhi jau fiqar hoti hai jau kabhi kisi cheez ki anxiety hoti hai use bach sakte hain. Umar barhti hai waise purushon mein jau badlao jau dekhe gae hain us mein yeh hota hai ke erection aney mein thora lamba samey lagta hai, uktejana ki ziada zarurat hoti hai, aur us viqti ko apne female partner se bhi uktejina milne ki buhat ziada zarurat mehsoos hoti hai. Istrion mein halanke yeh dekha gaya hai ke unki bhi sex ki ichcha barqarar rehti hai aur jau sharerrak badlao atey hain who kafi had tak hormones ke related hote hain.purushon mein yeh hormones jab kam hote hain particularly androgens jisey mainly testosterone jau hormone hai yeh kam hone se viqti mein ek jau samsya nirmaan hoti hai jisey andropause kehte hain yeh istrion mein jau menopause hota hai uske barabar ka shabd hai. Is mein kam hue hormones ke chalet chalet viqti mein chirchirapan,thakan jaldi mehsus kerna, kaam kaaj ke doran use phurti na hona aur sex mein erection thek se na ana ya jau sex ki ichcha hai kamik ichcha mein kam hona yeh parmokh lakhshan hain. Istion mein bhi mood change hona yeh menopause ka eke ham laqshan hai. Uske sath sath shareerak badlao jau hote hain usme lubrication ka kam hona jae mah se jau discharge ata hai usme kam hona yeh parmokh lakhshan hain. Is wajah se unhe kabhi kabhi kuch sex ki samasyain sata sakti hain. Uske elawa life mein jau barhti hue umar ke sath jau 40-45-50 saal ki jab hum baat kerte hain tab insan ki life mein kafi badlao ata hai. Jaise who profession mein ziada responsible position per puhanchta hai chahe job ho,yah business ho uska apna khudka tau wahan per jau demanding nature hai who ziada hojata hai kion k eek position si hoti hai insan ki uss waqt ki tau uske pas zimedarian kafi hoti hain. Sath mein hi domestic front pe uske ghar pe bachay barhe hue hote hain 20-22 saal mein uska jau education ke waqt uska ek ahem bhomika hojati hai aur usi ke sath sath unke parents jau 60s-70s ki age mein puhanchte hain unke samasyain bhi kafi rehti hain. Tau yeh insan 40s-50s mein ek aise cross road per aker ke khara hai jahan per usko apni niji life aur apne parewar jinon ki health parewar jinon ka education yeh sab cheezon ke barey mein uske liye sochna buhat zaruri hojata hai. Tau aise mein insan kafi kabhi stress mehsus kerta hai kafi tanao mehsus kerta hai, sath hi mein usko apni fitness ka bhi buhat hi dehan rakhna zaruri hai. Kyun ke yeh who umar hai jahan per diabetes, blood pressure,cholesterol jaise life tell diseases bhi apna sar uthati hain aur insan ki apni health mein kafi diqatein paida ker sakti hain. Tau aise mein apko sirf yehi kahunga ka umarab jaise barhti hai 50-55 ke agey bhi jaise sex ka ichcha hona bilkul normal hai yeh ghalat bilkul nahi hai. Halanke ek soch hoti hai insan ko abhi vanabparastam yani 50 saal ki umar mein yeh sab chor ker ke bhagwaan ke naam mein ziada vaist rehna chahye. Me tau yeh kahunga ke bhagwan ke naam mein apko pehle se hi vaist tehna hai sirf 50 ke baad nahi. Lekin jau sharer ki jau zaruratein hain,mann ki jau zaruratein hain uske oper hum drulaksh nahi kersakte hain. Who bhi utna hi importance rehte hain humari life mein tau uska bhi jaisey jaise mauqa milta hai jaise husband aur wife ko niji ek privacy rehti hai who bilqul barqarar rakhni chahye aur sexual relation qaim rakhna chahye. Ek common saying hai “use it or lose it” yeh saying humare sharer ke pushton ke liye sharer ke sab organs ke liye hi utna hi lagu hota hai ke jis organ ka apne istemaal kerna band kerdiya tau who organ apni shamta gawah bethta hai. Tau mitron yeh buhat zaruri hai ke hum fitnessmaintain karen ta ke hum achi health guzar saken, bimarian aone nazdeek na hun aur ap apni life ka jau anand hai who sahi tarah se utha sakte hain kion ke wigyan ne kafi taraqqi ki hai umrab barhne ke sath sath agar apnki joints mein taqleef hoti hai, had se ziada taqleef hojati hai tau ap joints replace kerwate hain, dant agar gir jate hain tau ap dant naye bithate hain,sar mein agar baal pak jate hain ya gir jate hain tau aap wig lagate hain,moti bindu mein hum lens change kerwate hain waise hi sex life mein bhi zarurat parhne per hum dawayon ka istemaal kerke humari sex life ko barqarar rakh sakte hain. Tau mitron yeh baat dehan rahe barhti hue umar humari sex life mein bilkul badah nahi dalti hai, badah agar dalti hai tau woh humari soch hai. Kisi ne theek kaha hai ke insan shareerak roop se bura pehle nahi hota hai mansik roop se apni soch se pehle bura hota hai. Tau aye humein apni soch badalni hai hum forever young rahenge aur forever young mehsus karenge.
Aur kisi ki jankari ke liye ap mera contact ker sakte hain ya appointment fix kersakte hain Lybrate yeh app ke zariye. Yeh Lybrate ka health app hai yeh kafi useful apko sabit hosakta hai. Dhanewaad!