Simple Tips for a Healthy Living
Simple Ayurvedic tips to maintain a good health
Mein Dr. Ashok Bansal, Dr. Abhishek Bansal ke saath Vaidik Chikitsa ki aur se apko kuch health tips bata rahey hain, jissey aap hamesha khud ko theek rakh sakte hai.
1. Aap saverey uth te hain toh gunguna pani pijiye aur phir apka pet saaf hoga aur ekdum thanda pani na pijiye.
2. Aap nahate time purey body ko, pairo se le kar sir tak massage kijiye. Aap ekdum kandho pe paani na daliye jissey blood circulation apka pairo se upar ayega aur aap thik rahengey.
3. Nahane ke baad 45 minute yah adhey ghantey tak nasta na karey toh thik rahega. Karan hai humara jo blood circulation hain nahane ke baad who sir ki taraf hota hai.
4. Aur uske baad din mein aap khana khatey hai uske baad adha ghanta pauna ghanta rest kijiye aur who bhi right side let kar. Din mein humara chandrama chakkar chalna chahiye. Chandrama chakkar baaye side hota hai aur saans baaye side se lengey toh thik rahega kyun ki din garam hota hai. Aur sham ko khana khaney ke baad aap thoda sa tahaliye, tahelne ke baad aap thik rahengey. Aur raat ko sotey hai toh baayi taraf ho kar soiye kyun ki raat ko humara suriya chakkar chalna chahiye. Iss tarah aap thik rahengey.
5. Aur khana khaney ke baad thoda gunguna paani pijiye jissey digestion system thik rahey, aur kam se kam khana khaney ke pauna adha ghanta pichhey hi paani pijiye, khana khatey hi ekdum nahin pani pina hai.