Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 03, 2024
BookMark
Report

Sinus Infection (Sinusitis)

Profile Image
Dr. Rahul BhargavaENT Specialist • 11 Years Exp.Fellowship In Rhinology, MS (ENT), DNB (ENT)
lybrate_youtube

Hello friends, I am Dr Rahul Bhargava, I am a consultant ENT at MGS hospital and have a clinic in Rohini sector 15, Delhi. Today I am going to discuss with you the Sinusitis topic. Sinusitis is a very common condition nowadays and it has been estimated that 20% of the people in India are suffering from Sinusitis and in children around 6 attacks of sinusitis happen in children every year. Sinusitis bahut hi common condition hai, iska ilaj bhi hai magar pehle hame yeh dekhna hai ki kis wajah se hai. Sinusitis kayi karno se hota hai sabse important karan hai ki hamari naak ke andar kuch banawati kharabi ho isme naak ki haddi ka tedapan hona, kuch cells extra hona ya sinus ki opening ke andar rukawat hona. Yeh sabse important karan hota hai Sinusitis ka or iske liye surgery ki zaroorat hoti hai. Toh jin cases mein structure problem hoti hai toh, we need to do surgeries in these cases and remove the problem. The other important cause Sinusitis ka hai woh hai allergy naak ke andar allergic hona, ya allergic rhinitis hona, naak ke jo sinuses hoti hain uski opening ko chota kar deta hai aur usse sinus ki problem hoti hai, kafi cases ke andar pehle patient ko allergy hoti hai aur uske baad wo sinus mein convert hota hai. Toh hum yeh chahte hain ki hum woh allergy ko wahi khatam kar de aur aage woh sinus ki problem mein na badle. Allergy kis wajah se hai, kis karan se hai, kis cheez se hai, wo janana hamare liye kafi avashyak hota hai, jis cheez se allergy hoti hai kuch cheeze aisi hoti hai jisko hum avoid kar sakte hain aur kuch ke liye immunotherapy deni padti hai. Lekin jaise bola jata hai prevention is better than cure, aise hi allergy ka sahi samay pe ilaj se wo aage sinus ki problem mein nahi badalta hai. Ek bahut aajkal common karan hai woh hai pollution, pollution ek irritant ka kaam karta hai sinus ke andar puri nak ki jo lining hoti hai usko usme sujan aa jati hai usse sinus ki problem ho jati hai. Toh uske liye aapko pollution ke area se bachna chahiye, jab jis din jyada pollution hai us din raat ko 9 baje ke baad aur morning mein 6 baje se pehle nahi nikalna chahiye ghar se bahar. Uske alawa mechanical barrier, koi bhi rukawat jo sinus ke raste mein aati hai woh bhi Sinusitis cause karti hai, jisme sabse important cost hota hai adenoid hypertrophy, adenoid ek mask hota hai jo naak ke piche hota hai aur sinus ka jo risha hota hai uske rasthe mein aata hai. Kisi bache mein agar adenoid bada hua hota hai toh kaan ki dikkat ke sath-sath uske nak ke andar sinus ki problem hoti hai. Aur aaj kal sinus ke andar chote baccho ke andar pehle adenoid ki hai surgery ki jati hai, taki woh sinus ki problem se nijat pa sake. Uske alawa jo sharir ki immunity hai wo bhi ek bahut important cause hai ki hamara sinus ki problem hone ka, immunity mein sabse jyada aaj kal Vitamin D ka role aa raha hai. Jin marijoo mein Vitamin D ki kami hoti hai unke under sinus ki problem bhi baar-baar hoti hai. Toh sinus ka ilaj jo hai woh sambhav hai kuch patients mein hamme surgery karni hoti hai, jiske andar koi banawati kharabi hui koi cell extra hai, jo ki hamme CT Scan se pata lagta hai usme hamme surgery ki zaroorat hoti hai. Jin baccho mein adenoid bada hua hai, hamme adenoid ki surgery karni padti hai, agar allergy ki problem hai toh allergy ka ilaj karna padta hai, toh isse tabhi hum is problems se completely nijat pa sakte hain. Thank you.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Sinusitis treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details