Skin Related Disease
Hi,
I am Dr. D.S. Rathi, Ayurveda. Mein 40 years se practice kar raha hun. Aaj mein aap ko skin disease ke bare mein bataunga. Psoriasis, eczema, vitiligo, hair fall bohot common hai and iska bohot sare patients aate hain. Galat khane se, poor lifestyle and pollution se ye problem hoti hai. Toxins aap ki body me badh jate hain and skin kharab hone lagti hai. Ayurveda mein hum toxins aap ki body se nikalte hain medicines and panchakarma ke through.
Aise aap ki bhimari thik hone lag jati hai. Skin disease mein aap ko parhej karna hota hai jaise fish and milk intake, milk and salt intake, fried foods, maide bana food, junk food se aap ko problem hoti hai. Agar aap khud ko in chizon se prevent karte hain to aap ko 4-6 weeks mein improvement mil jati hai. Agar aap ko skin disease hai to aap mujhse Lybrate ke through contact kar sakte hain.
Thank You.