Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Skin Related Issue

Profile Image
Dr. Sunil AryaAyurvedic Doctor • 30 Years Exp.MD - Ayurveda, Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS)
lybrate_youtube

Namaskar.

Main Dr. Sunil Arya MD Ayurved, aapko aaj chamadi ke rogon ke vishay mein batana chahta hoon, allergy wali chamdi ke rog jitne bhi hote hain un sabme ek sabse bada lakshan jo ek aam aadmi mehsoos karta hai wo hai khujli, chamadi ki khujli ek baar hone lag jaaye to chronic ho jati hai par aam taur par rogi chamdi ki khujli se pareshan rehta hai ho sakta hai usme aur bahut sare lakshan hote ho kabhi-kabhi chamadi par chhapaki hoti hai, mote-mote hives ho jate hain (lal-lal rang ke) aur wo kuch na kiya jaye tab bhi ek ghante, do ghante mein kharish hone ke bad apne aap baith bhi jaate hain. Iske alawa chamadi par chote-chote daane ho jana, lalima bane rehna iske alawa dryness bane rehna kabhi-kabhi usme kuch scales utarte rahana ye sabh hota rehta hai. Chamadi ke is tarah ke rogon mein jalan bhi ho sakti hai, sujan bhi aa sakti hai usko dermititis keh dete hain, allergy keh dete hain, allergy-dermatitis keh dete hain, charam rog keh dete hain, kuch bhi kahiye aap.

Ab is mein ye kyon hota hai aam taur par ismein kahin baar fungus bhi aapko mil jaati hai to is tarah ke jitne bhi chamadi ke rog hai unko 3 category mein mote-mote bant sakte hain ya to chamadi ke rog infective ho, infection ki wajah se ho wo fungus infection ho sakta hai, bacterial ho sakta hai, viral ho sakta hai ya wo charmadi ke rog allergy ki wajah se ho kisi khas wajah se, kisi khaas khaane wali cheez se allergy hoti ho, kahi baar ABCD (airborne contact dermatitis) dermatitis hota hai, matlab koi bhi cheez ke chamadi ke sampark mein aane se athwa sharir ke bhitar jane se jo hypersensitivity hoti hai, jo allergy hoti hai uski wajah se chamadi par wo samasyaein aa jati hain.

Teesri tarah ke chamadi ke jo rog hote hain unko kehte hain autoimmune disorders jisme aapki apni jo immunity hai wo apne aap ko hi nuksan pahunchati hai hamare sharir ko jaise psoriasis usme ek bahut common paye jane wali samasya hai, aam taur par chamadi ke rogon ke mamle mein kaha jata hai ki itne din dawa khao to theek ho jata hai to maine dekha hai aksar, aap ne bhi dekha hoga ki chamadi ke rog ek baar hone shuru ho jaayein to jaldi se theek hote nahi hai khaas taur se psoriasis jaise autoimmune disorder ka koi ilaj kaha hi nahi jata to aise mamlo mein pareshan rehta hai patient, doctor change karte rehte hai lekin aam taur par koi samadhan nikalta nahi hai. Aise mamlon mein ayurved bahut accha upaye aapko sujha sakta hai ek accha upchar aap ko prastut kar sakta hai. Ayurved ke madhyam se hum do teen kaam karte hain. Ek to hum chamadi ki health, chamadi ki immunity ko enhance karte hain, chamadi ki health ko sudhar te hain aur chamadi ki health sudhregi apne sharir ke bhitar ke detoxification karne se aur apne sharir ki apni immunity ko majboot banane se, to uske liye kuch aushadhiyan aur kuch lep aur kuch tel ka prayog kiya jata hai aur sath hi sath panchakarma therapy isse bahut upyogi rahti hai.

Panchakarma ke madhyam se hum na keval sharir ka detox karte hain balki rejuvenation bhi karte hain usse chamadi ke rogon mein hum behtar upaye paa jaate hain. Kayi baar chamadi ke rogon mein discoloration ek factor rehta hai jaise safed daag keh lijiye aap ya aur bhi kahi tarah ke discoloration hote hain unme bhi concept wahi hai, chamadi ke rogon mein ayurved ke madhyam se hum chahe wo allergy ho, chahe wo infective ho, chahe wo autoimmune disorder ho, treatment lagbhag ek jaisa hi rehta hai ki sabse pahle bhitar se saaf-safai ho detoxification ho panchakarma ke through aur kuch aisi aushadhiyan jo hamare sharir ki immunity ko modulate karen to usse hum ek accha parinaam pate hain. Iske saath hi chamadi ke rogon mein ek khaas baat hoti hai ki tanav (stress).

Chamadi ke rogon ko hamesha tanav badhata hai aur tanav ko behtar tarike se manage karne ke liye koi aur aushadhiyan bahut kaamyab ho ya na ho lekin ayurved ki aushadhiyan aur pranayam, yoga abhyas bahut accha kaam karta hai. To ek kul mila kar ke ek poora package ki tarah rehta hai jo ayurvedic ka treatment hai chamadi ke rogon main ek package ki tarah hai jisme aapki mansik swasthya ki bhi hum chinta karte hain, sharirik swasthya ki bhi chinta karte hain, bhitar ka shodhan bhi karte hain aur aesi aushadhiyan jo na to habit-forming ho na aap ko nasha deti ho, na susti laati ho uska prayog karate hain to nishchit roop se khoon ki safai hone se, bhitar ki safai hone se, detoxification hone se chamadi ke rogo mein hum behtar parinaam paate hain. Yadi aap kisi bhi prakar ke chamdi ke rogon se ghrast ho, pidit ho, bahut lambe samay se aap dawa khate rahe ho toh aap nishchit roop se aap mujhse sampark kar sakte hain chahe to lybrate ke through mujhe sampark karen.

Dhanywaad.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Skin Whitening treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details