Slipped Disk
Hi! I am Dr. Ashwani Maichand, Orthopedist practicing in Delhi. Today, I will talk about slipped disk. Hamari bones mein ek spongy material hota hai. Isse hum disk bolte hain. Agar disk jagha se nikal jaye jise slipped disk kehte hain to vo nerves ke liye problem karti hain. Patient ko legs mein pain hota hai jisse sciatica kehte hain. Jyada chalne se patient ka leg sun ho jata hai and patient ko baithna padta hai. Surgery se har koi darta hai. Patient ko darr hota hai ki kahin unhein bed rest na karna pade. Ya unko paralysis na ho jaye. Unko urine mein koi problem na aa jaye.
Slipped disk ke 90% operation laparoscopy se kiye jaate hain. Nerve ko damage nahi hota hai. Cut ka size chota ho jata hai and blood loss kam hota hai. Jis din operation hota hai usi din evening mein patient chalna shuru kar deta hai and uska discharge ho jata hai. Within a week patient office jaa sakta hai. Ye bilkul safe surgery hai. Isliye endoscopy ke bare mein aur padhein. Agar aap ko koi bhi information chahiye to Lybrate ke through mujhse contact karein. Thank You!