Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Spectacle Removal Surgery

Profile Image
Dr. Rajeev GuptaOphthalmologist • 30 Years Exp.MBBS, MS - Ophthalmology
lybrate_youtube

Mai Dr Rajiv Gupta, mera clinic Om Eye and Gynae Centre, Vaishali sector-5, Ghaziabad mein hai. Aaj hum chashma utarne ke operation ke bare mein baat karenge, yeha operation ideally tabhi kerna chahiye jab ankh ka number stable ho jaye. Isliye adhiktar bees saal ke baad kiya jata hai, kyunki adhiatar patients mein bees saal ke aas-paas number stable ho jata hai. Chashme hatane ka kaam teen alag-alag taranh ke operations ke dwara kiya ja sakta hai. Pehla laser dwara, jo sabse common aur popular tareeka hai, jisko adhiktar sabhi log jante bhi hain. Dusra, phakic IOLs dwara, teesra clear lens exchange dwara. Laser dwara chasma hatane ka bases yeha hai, ki jo cornea hai ankh ki, kali putli jo hai usko ek high power lens ki taranh samajh sakte hain. Aur iss lens ki power ko laser ke dawara chashme ke number ke according kam ya jayada kiya ja sakta hai, jisse ki jo kam chashma kr raha tha wo kam uski power mein adjustment karke ho jata hai aur operation ke bad cashma lagane ki zarurat nahi padti. Laser operation kai taranh se kiya ja sakta hai jaise PRK, lasik, lemto laser aur SMILE. Laser ko PRK mein cornea ki superfision layer ko hata kr, cornea pe laser kiya jata hai. Jabki lasik mein cornea ka partial thickness flap utha kr cornea pe laser kya jata hai, phir flap ko deposit kr diya jata hai. Lasik mein flap uthne ka kaam microcreatrom ke dwara kiya jata hai. Femto laser ek aisa procedur hai jissme lasik ki taraf flap uthya jata hai, lkin isme flap katne ka kaam laser ke dwara kiya jata hai aur jayada accurate hota hai. Isliye femto ko lasik se jayada achcha manate hain. Jabki SMILE insabse bhi aur advanced technique hai, jisme laser ka istemal flap banake uthane ke liye nahi kiya jata balki laser ka istemal ek ankh mein se, cornea mein se chota sa piece nikalne ke liya kiya jata hai, jisse ki ankh ki stability, cornea ki strength jayada achchi maintain rehti hai kyunki usme flap nahi badana pada. Koi patient laser operation ke liye fit hai ke nahi, ye janane ke liye ankh ki kuch jaanche ki jati hain. Yadi patient ki ankh uss janch mein fit aati hai, toh uski ankh mein laser operation kiya ja sakta hai. Laser ke results bahut achche hain, success rate more than 99% hai, lekin kisi bhi anya procedure ki taranh success rate 100% nahi ho sakta, aur operation se related kuch problems ya complications bhi ho sakti hain. Infective keratitis or keratoconus aise do uncommon but very important complications hain jinki wajah se ankj ki roshni kam bhi ho sakti hain. Ab hum baat karte hain phakic IOLs ki, jisme natural lens ke upar ankh ke ander hi ek aur artificial lens laga diya jata hai. Yeh procedure khastaur pe unn logon ki choice hai, jo laser ke liye fit nahi hain. Iski uncommon but important complications hain, ankh mein safed motia ya kale motia ka ho jana. Lekin phakic IOLs ki advantage ye hai yadi ye problems aati hain toh zarurat padne par artificial lens ko nikalker inn problems ko dur kiya ja sakta hai. Iska ek aur bada advantage yeh hai ki isme cornea ko chda nahi jata, yani ki conea mein koi cut nahi lagaya jata, jisse cornea ki apni strength maintain rehti hai, jabki laser aur patient mein cornea ki strength kam ho jati hai. Teesar tareeka hai clear lens exchange, isme natural lens ko nikal ker artificial lens laga diya jata hai. Iss procedure ko pentalis saal ki umar se pehle kerna pasand nahi kiya jata, kyunki iss operation ke baad ankh ki dur nazdeek focus kerne ki power khatam ho jati hai, Retinal detatchment yani parde ka apni jagah se hutt jana bhi iski ek serious complication ho sakti hai. Toh kisi specific patient ke liye kaunsa operation jayada suitable hai. Yeha mukhya roop se uski ankh ki condition pe nirbhar kerta hai, yadi uski ankh ki condition ke hisab se, ek se jayada procedures possible hain, suitable hain, toh uss case mein patient ki apni choice aur doctor ki preference nirbhar kerta hai ki uss patient mein kaun se tareeke se chashma hataya jaye.

Yadi aap aur information chahte hian toh mujhe contact kr sakte hain Lybrate ke through, ya directly clinic par. Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Surgery treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details