Spondylitis
Hi, I am Dr. A.K Gupta, Homeopath, Director in AKGs OVIHAMS MEDICAL CENTER.
Aaj hum baat karenge spondylitis ki. It is a very common problem. Cervical and lumbar region mein spondylitis ki problem ho sakti hai. Iske causes hain sedentary lifestyle. Isme apki muscles stiff ho jaati hai. Isme pain, numbness and sensation rehta hai. Isme pain hip se legs mein bhi ja sakta hai. Isme backache kaafi common hai.
Is problem se bachne ke liye aapka body posture thik hona chaiye. Work station pe apka vision straight hona chaiye kaam karte time. Jab ye problem zyaada badh jati hai to aapko advice kiya jaata hai surgery ke liye. Homeopathy kaafi effective treatment hai. Kuch logon ko dizziness, nausea and vomiting feel hota hai. Iska diagnosis hum x-ray, CT scan and MRI se krte hain.
Isko treat karte time apka diabetes, blood pressure, calcium and vitamin D deficiency check kia jata hai. Homeopathy me apko medicines ke through treatment dia jata hai and isme apko surgery karane ki bhi zarurat nahi hoti hai. Jinhe osteoporosis hai ya calcium or vitamin D ka deficiency hai to unhe ye problem effect kr skti hai. Is problem k lia apko orthopedic or neurologist se consult krna pad skta hai. But apko homeopath har way me help krta hai.
Zarurat padne pe aapko physiotherapy bhi suggest kia jata hai. But apko exercise balance me hi karna hai. Aap mujhse bhi treatment le skte hain. Thank You.