Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Sports Related Knee Injuries

Profile Image
Dr. (Prof) Amite Pankaj AggarwalOrthopedic Doctor • 27 Years Exp.MBBS, MS - Orthopaedics, DNB - Orthopedics
lybrate_youtube

Hello,

Is video ke zariye, sports injuries hmare knee joint ke around, uske bare me information dena chahunga. Knee joint sports injury bhut hi common hain. Kayi bar bike or road traffic accidents me bhi milti hain. Is s pehle me apko knee joint ke structure ki information dunga so that aap is problem ko easily samjh payein. Knee joint ke alwa knee me bhut sari chizen or bhi hoti hain jisko diagnose krne ke lia hume MRI krna pdta hai. Inme ligaments, ACL, shock absorber (meniscus), upar ki layer jo hai use cartilage bola jata hai. Agar hum ligament ki bat kren to ACL, sabse common injury hai. Isme patient ka knee twist hone lgta hai. Iske karan patient sports me participate nhi kar pate hain.

Ligament injury ke lia arthroscopy surgery iske lia recommend ki jati hai jisme latest technology ke through inko reconstruct kia jata hai. ACL surgery sabse common surgery hai. Post-operation, rehabitation ki jrurat pdti hai. Baki ligaments ka bhi surgical treatments kia jata hai. Meniscus ka role bhut important hai. Agar meniscus ki problem hai to hum ise replace krne ki advice dete hain. Is se weight bearing thik rehta hai. Or patient ke lia ye joint iske baad normal function krta hai. Kayi bar meniscu repair ke layak nhi hota, aise case me torn portion ko nikal dia jata hai jisko hum mastectomy operation kehte hain. Ye arthroscopy se kia ja skta hai. Ab last hum baat krenge cartilage ke bare me.

Ye ek soft layer hoti hai or iska regeneration bhut kam hota hai. Isme sports me bhut problem hoti hai or agar ye unattended rhe to joint khrab bhi ho jata hai. Is case ke lia surgical technique available hai jisko hum autologous chondrocyte implantation (ACI) or micro-fracture technique bolte hain. Iske through cartilage ki layer ko regenerate kia jata hai. Sports injury ko prevent kia ja skta hai agar aap apne aap ko warm up kren, apne muscles ki care kren, proper training len before going for any sport. Agar prevention ke baad bhi apko injury hoti hai to surgery ke through apko vapas sports me le jane ki koshish kar skte hain. Or ye successful kafi cases me rehta hai.

Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Knee Injury treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details