Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: May 18, 2024
BookMark
Report

Stomach Related Problem

Profile Image
Dr. Rajneesh GulatiGastroenterologist • 41 Years Exp.MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, MD - Medicine, DM (Gastroenterology)
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Rajneesh Gulati, Gastroenterologist. Mai 25 saal se practice kar raha hun. Hum aap ki liver, stomach, intestine se related problems ki samasya ka hul dhundte hain. Humara pet food pipe se shuru hota hai. Isko stomach bolte hain. Uske baad choti intestine aati hai and fir badi intestine aati hai. Iske bich mein pancreas, liver aur gallbladder hota hai. So, a gastroenterologist in sab se deal karta hai. Gastroenterologist ne M.B.B.S. ki hoti hai, uske baad usne M.D. ki hoti hai aur uske baad D.M. ki hoti hai. So, D.M. ki degree differentiate karti hai. So, mera main rujhav stomach and liver ki bimariyon ki taraf hai. Jisko hum diagnose karte hain endoscopy ke sath. Hum bohot sari bimariyon ka ilaj bhi endoscopy ke sath karte hain. Jaise pet me ulcer fat jana. Liver ki vajha se food pipe me problem aa jana. Inko varices bolte hain. Agar ye faat jati hai to khoon ki ulti aati hai. Kuch logon ko chaati mein jalan hoti hai. Pet mein ulcer ho jata hai. Gallbladder mein stones ho jate hain.

Fir hum liver ki bimariyon ka ilaj karte hain. Jaise aap jante hain ki liver ki bimariyan jaundice karti hain. Inka bohot acha ilaj available hai. Fir choti aur badi intestine ki bimariyan aa jati hai. Jaise ulcerative colitis, irritable bowel syndrome. Iske alwa pancreas ki bimari ka ilaj kiya jata hai. Sabse achi baat hai ki in bimariyon ka ilaj hum bina operation ke karte hain. So, hum insan ke andar natural openings ke through jate hain. Jisko endoscopy bolte hain. Iska sabse bada fayda hota hai ki mariz same day operation kara ke ghar chala jata hai. Uski body mein koi cut nhi hota hai and recovery fast hoti hai. Agale hi din se vo office bhi jaa sakta hai. Toh in sab bimaiyon ka ilaj gastroenterologist karta hai. Humne bohot logon ko fayda dia hai. Hum chahenge ki agar aisi koi bhi bimari kisi ko bhi hai to uska fayda hum kar saken. Taki vo healthy and happy life jee sake. Endoscopy ek tube hoti hai jo ki patient ke muh mein se jaati hai.

Aur uske pet ko dekh kar ke bahar aa jati hai. Is se hume pet ki bimari ke bare me pata chalta hai. Isko karne ke liya 1-2 minutes lagte hain. Pehle patient ka gala sun kiya jata hai. Local anesthesia se patient ka gala sun kiya jata hai. Uske baad patient ko injection dia jata hai jisse patient thodi der ke liya soo jata hai, usko koi taklif bhi nahi hoti aur yaad bhi nahi rehta ki koi endoscopy hui hai. Endoscopy ke tube par camera laga hota hai. Ye camera with tube mouth ke raste se stomach mein jata hai. Uska image hum monitor pe dekh sakte hain. Patient ka pulse and BP record kiya jata hai taaki uski safety ka pura dhyan rakha ja sake.

Thanks!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Digestive Disorders treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details