Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Stress During Exams

Profile Image
Dr. Vikas DeshmukhSexologist • 18 Years Exp.MBBS, M.D Psychiatry , Diploma In Psychological Medicine
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Vikas Deshmukh, Sexologist. Aaj hum baat karenge exams stress ke liya. Ye bahut bada topic hai. Ismein aaj mein general stress management, diet, sleep ye sari chizen nahi cover karenge. Ye bahut common chiz hai. Jaise winter mein common cold hota hai vaise exam mein stress hota hai. Stress lena bura nahi hai. Limited stress lena success ke liya bahut important hai. Problem tab hoti hai jab stress hadh se jayada badh jata hai. Stress kam kaise kiya jaaye? Stress ka karan samajhna bahut jaruri hai. Aaj mein 3-4 things cover karunga. Pehla karan hai improper study planning. 2nd is improper studies technique. 3rd stress ko pehchan kar usko overcome karna. 4th is apna value samajhana. Inadequate study planning. Bahut baar aisa lagta hai ki time kam hone se mai thik se padhayi nahi kar paa raha hun. But aap ke pass jo bhi time hai agar aap uske according plan karoge toh aapke liya acha hoga. Aap ko dekhna hai ki aap ke haath mein kitne din hain. Exams se pehle fir aap ko revision time rakhna hai. Ab aap ki study technique kya honi chahiyai?

Bahut baar bache padayi karte hain lekin results nahi aate hain. So, aap ka active recall hona chahiyai. Isliya topic padne se pehle aap apne sawal tayar rakho. Next aap notes banayein lekin book close kar ke. Is se aap ka brain sharp rahega. Aap flash cards banayein. Jab aap padayi karte hain and difficlt chizen aap ko yaad nahi rehti toh aa flash cards mein alag alag techniques se yaad rakhne ki kohish kar sakte hain. Revision aap ka specific time mein hona chahiyai. Bahut sare log ek hi topic pure din revise karte rehte hain but ye technique achi nahi hai. Isliya aap ek h chize ko daily and time to time revise karein jise aap ko vo chiz bhulegi nahi. Important points aap underline karein. Fir aap book ko close kar dein and notes nikal lein. Fir 5 minutes notes revise karien. Is se short term memory long term memory mein convert ho jaati hai. Ye dekhne mein mushkil lagta hai and lamba procedure lagta hai but agar aap aisa karenge toh aap ko tpic revise karne mein time kam ho jayega. Jo time aap ko jyada lagta hai vo time dheere dheere kam ho jayega. Toh ye itna mushkil nahi hai jitna lagta hai.

Aap ko apne negative thoughts control karne hain. Bahut kam baar aisa hta hai ki exam ke time pe 100% syllabus khatam ho. Hota kya hai ki aap ko lagta hai ki 20-30% syllabus reh gaya hai and exam mein agar us mein se kuch aa gaya toh kya hoga. Is anxiety ki vajah se aap padahyi mein focus nahi kar paate hain. Aur fir jab aap exam dene jaate ho toh aap question paer padte hi sochte ho ki kya kya chori hai or kya nahi. Lekin agar aap aisa socte rahenge toh aap thik se exam nahi kar paenge. But jo aap ne 70% padha hai use pe focus kar ke exam denge toh aap ache numbers se pass ho paoge. Isliya humesha pehle vo questions karein jo aap ko aate hain. Aur aap ko jo topic nahi aata hai uske baarein mein bhi aapkuch na kuch likh kar aaoge. Is se aap ke pass hone ke chances bahut jyada badh jaate hain. Last point is know your value. Bahut baar hum apna value exams ke results ke upar lagate hain. Aap ka valuse bahut jayada hai. Ek xam aap ka value kam ya jyada nahi karti hai. Eaxms aap ke learning ke liya hoti hain. Leaning is a life long process. Jiska ek step exam hai. Aap ko aap ke success mein bhi sikhna chahiyai and failure mein bhi sikhna chahiyai. Life mein failure insan ko sabse jyada sikhta hai. Jo bhi aaj life successful hain ye life mein bahut baar fail bhi hue hain. Inhone apne failure se kuch sikha hai. So, failure is the first step to success. Mujhse se contact karne ke liya lybrate.com ke through consultation lijiye.

Thank You!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Anxiety treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details