Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Things To Know About Smoking

Profile Image
Dr. Prashant SaxenaPulmonologist • 21 Years Exp.MD - TB & Chest, Fellowship Training Intensive Care, Fellow College of Chest physicians, European Diploma in Respiratory Medicine, Interventional Pulmonology , Greece, European Diploma in Intensive Care Medicine, Fellow Indian college of critical care
lybrate_youtube

Namaskar! Mera naam Dr. Prashant Saxena hai. Mai Max Smart Hospital, Delhi mei ek pulmonologist hun.

Aaj me apse smoking ke bare me baat krunga. Smoking aisa khatarnak addiction hai joki aaj kal duniya mei badhta ja rha hai. Yuvaon ki baat alag hai. Middle age aur old age mei bhi ye shaunk bade ache se kiya ja rha hai. Smoking ke itne dushprabhav hote hain ki agar hum unki jankari len, to ek puri kitab likhi ja sakti hai. Smoking sharir ke kisi bhi organ ko affect kar sakti hai. Smoking se lag bhag 13 tarha ke cancer aaj kal dekhne ko milte hain. Jismei ki lung cancer no.1 cancer hai.

Smoke mei lag bhag 7000 chemical hote hain jisme se 70 chemicals cancer sharir mei paida kar sakte hain. Smoking karne se lung cancer sabse bada cancer hai joki hamare ko ho skta hai. Iske alawa 13 or tarike ke cancer hain joki hume ho sakte hai. Lung cancer or anye cancer ke alwa, smoke se ya smoking krne se hamare ko lungs ki bimariyan ho skti hai. Jisme ki chronic bronchitis, dame ke attacks, pneumonia hona, tuberculosis jaise infections hona. Agar hum aur effects dekhen smoking ke, lungs ke alawa, to hamari eye sight pe farak pad sakta hai, hamari bones kamjoor ho skti hain. Hamare jo blood vessels hote hain uske andar ek substance deposit ho jata hai smoking karne se.

Agar hamare sharir mei anthracosis ho jati hain to us insan ko heart attack padne ke ya stroke hone ke chances bahut jyada ho jate hain. Smoking agar ek mahila karti hai ya pregnant mahila karti hai to uske bahut jyada side effects hote hain. Apka bacha gir bhi skta hai. Bache ka growth retardation ho skta hai. Bache ki delivery jaldi ho skti hai. Bacha paida hone ke baad bhi agar maa smoking krti jai, to aise bachon mei dekha gya hai ki inko bahut jaldi pneumonia hote hain. Aur in logon ko dama hone ke chances bahut jyada badh jate hain. Kayi baar log hamse puchte hain ki passive smoking ya environmental tobacco smoke kya hota hai. Agar hum aam taur pe apna vatavaran ko dekhen to kayi tarha ke dust, particles, smoke, hamare environment mei hai jisme ki tobacco smoke bhi hai.

Agar hum is tarike ke smoke ko inhale krte hain to usi tarha ke dush prabhav hamare sharir mei hote hain jitna ki ek smoking krne vali ciggrette se hote hain. Mtlb agar aap smoking nhi bhi kar rhen hain ya fir aap smoking environment me rahen hain ya fir koi bhi smoking kar rha hai or aap usko inhale kar rhen hai,to apko vhi bimariyan ho sakti hai jo tobacco smoking krne se paida hoti hain. Smoking krne vale ko smoke ki aadat kyu padti hai? Jab bhi hum smoke karte hain to cigarette ke andar ek substance hota hai jiska nam nicotin hota hai. Nicotin jab body ke andar jata hai to vo body ko pleasurable effects deta hai. Mtlb usko anand aata hai, energy aati hai, usko acha lgta hai cigarette peena.

Aur jab cigarette pina vo band krta hai to nicotin ka level body mei kam ho jata hai or uske baad usko thakan mehsus hoti hai or usko acha nhi lgta. Aur ye cycle continue hoti rehti hai. aur agar koi ciggrette chodta hai to usko withdrawl symptoms hote hain. Ye symptoms kya hote hain. Jab aap smoking chorte hain to uske kuch ghante baad as soon as half an hour, hmare andar changes aate hain, jaise ki hume anxiety hona, depression hona, ya mood change ho jana ya irritable ho jana ya pait me dard hona ya maror hona, hath pair kapna, is tarha ke lakshan shuru ho jate hain. Ye lakshan smoking chodne ke 2-3 din mei peak krte hain or 2-3 hafte tak reh sakte hain.

Kuch log jo bahut zyaada smoking karte hain , unke andar withdrawl symptoms 2-3 mahine tak reh sakte hain. Withdrawl symptoms ke bare mei janna islia jruri hai kyuki jab bhi hum smoking chodenge to hume malum hona chaiye ki inko kaise tackle krna hai. 

How to quit smoking? Agar hum dekhen to smoking quit krna bahut asan kam nhi hai. Smoking quit krne k lia self-determination or bahut strong will chaiye. Aur yaad rakhiye kayi log smoking chodne ke baad bhi dubara us lat mein vapas aa jate hain. Sirf chewing gum ya tablet khane se koi smoking nhi chor skta. Agar hum dekhen to smoking chorne ke kayi sare upay hote hain. Sabse pehle humein identify karna hai ki smoking ka trigger kya hai. Kayi logon ko khelne ke baad smoking ki talab hoti hai. Kayi logon ko khana khane ke baad smoking ki talab hoti hai. Kayi logon ko alcohol peene ke sath ciggrette peene ki talab hoti hai. 

To humein trigger identify krna hai ki kab hume sabse jyada talab ho rhi hai or fir hume us trigger ko dheere dheere apne se durr krna hai. Agar hum pub mei jate hain, hukka bars mei jaate hain, to hume dekha hai ki hum aise places me na jayen, jahan bhi log smoke kar rhen hain. Kyuki agar hum unhe dekhenge smoke karte hue to hume dubara talab hogi ciggrette peene ki. Kuch logon ne yahan tak ye bhi kiya hai ki unhone apne doston se milna bhi chor dia hai jo ciggrette smoke krte hain kyuki agar aap aisi company mei baithenge ki vahan smoke ho rhi hai to aapka bhi mann krega ki aap smoking karein. Aur baar baar smoke ki taraf aakarshit honge.

Agar hamara dimag baar baar smoking ki taraf aakarshit ho rha hai to hum koi nyi hobby ka istemaal kar skte hain jaise ki hum gym join kar sakte hain, hum kuch aur creative chiz kar sakte hain, drawing, art, anything we can do. Taaki hamara dimaag divert rahe or smoking ki taraf na jaaye. Bich bich mei agar hum vegetables or fruits khaate rahen or paani peete rahen, to smoking ki talab kam ho jati hai. Aur agar hum doctors ki prescribe ki hui dawaiyon ka istemal karen jis se cigarette ki talab kam ho, vo dawaiyon hame istemal krni chaiye. Cigarette chorne ka kya tarika hota hai. Sabse pehle hume decide krna hai ki hume kis din ciggrette chorni hai ya kis mahine cigarette chorni hai.

Uske ba cigarette chorne k 3 sabse important tarike hain. Sabse pehla tarika hota hai aaj humne decide kia ki ab hum cigarette nhi peeyenge, par ye bhi dekha gya hai ki upaye bahut jyada successful nhi hota. Dusra upaaye ye hai ki hum cigarette ki maatra kam karte hain. Jaise hum 20 cigarette peete hain to 1 hafte baad 15 peete hain. Uske 1-2 hafte baad 10 peena shuru kar den. Or jaise jaise cigarette kam ho jaye, hum date decide kar ke cigarette peena chor den. Teesra tarika hai ki cigarette hum aadhi pee ke fekna shuru kar dein. Mtlb humne 2-4 puffs liya uske bad cigarette chor dia. Aise hamara cigarette ka amount kam ho jayega or humein iski latt choot jayegi. 

Is dauran hame side-effects ho sakte hain. Withdrawal effects ho sakte hain. Hum apne physician ko consult kar sakte hain. Jo humein nicotin replacement therapy or kuch dawaiyan hain jo non-nicotin replacement therapy hoti hai, usmei hume enroll kr k, humein dawaiyan de skte hain jis se humein withdrawl symptoms se fight krne mei aasani rhegi. 

Yaad rakhein ki sirf planning se kaam nhi chalega. Behavior therapy, counselling + medicines and your strong will, all are most important things in quitting smoking.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Smoking treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details