Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: May 28, 2023
BookMark
Report

Things You Should Know About IVF

Profile Image
Dr. Prerna GuptaIVF Specialist • 20 Years Exp.MBBS, MD - Obstetrtics & Gynaecology, MRCOG , Fellowship In ART
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Prerna Gupta, IVF Specialist, Dr Prerna Gupta MD AIIMS clinic, Delhi. Today I will talk about IVF consult ke baare mein. Aaj hum janenge ki jab hum IVF Dr ke pass jaate hain toh humein kya kya chizen le jaani chaiye. Kya kya reports humare pass honi chaiye aur humein kya kya discuss karna chaiye IVF Dr se? Aap ko humesha apne saare purane records carry karne hain. Bahut jaruri hai ki pehle jo bhi aap ke investigations hue hain, jo bhi laparoscopy, hyteroscopy surgeries hui hain, koi bhi aap ke treatments hue hain, ovulation induction hue hain, IUI hue hain, konsi medicines use ki gayi hain, kaise eggs banaye gaye hain, kaisa scan hua hai, ye sari informations bahut important hain and humein pata chal jata hai ki aap ke eggs kaise bante hain, aap ke treatment ke failure ka karan kya hai, aap ki lining kaise banti hai. Aap ki laparoscopy ki report humein dekha deti hain ki aap ka uterus kaisa hai, lining mein koi problem toh nahi hai and organc issue toh nahi hai. Aap ka treatment inhi se plan ho jata hai.

Aap ko aur tests ki jarurat nahi padti hai. Agar aap ka test pichle 2 years mein hua hai toh repeat karane ki jarurat nahi hai. Aapke latest treatment mein thyroid ka report chaiye hota hai, viral markers chaiye hote hain, aap ke husband ka recent analysis chaiye hota hai. Ye dynamic tests hote hain and ye change hote rehte hain. Toh ye within 6 months ke tests aap ke chaiye hote hain. Uske baad Dr aap ka TVS karte hain. Is se kafi information milti hain. Is se vo aap ke uterus ko dekhte hain, lining dekhi jaati hai, fibroid dekha jata hai, polyp dekha jata hai ki kahin hai toh nahi. Agar aisa kuch bhi hai toh ye pregnancy mein aap ko problem kar sakta hai. Dusra vo aap ke ovaries ko dekhte hain and check karte hain ki kitne number of eggs kaise hain. Aap ki ovaries ki accessibility dekhi jaati hai. Aap ki ovaries mein IVF karna easy hai ya difficult hai. Aap ki ovary mein koi cyst toh nahi hai, endometriosis toh nahi hai ya fir koi aur karan toh nahi hai jis se pregnancy rate kam ho sakta hai. Is investigation ke baad aap ka treatment plan ho sakta hai. IVF mein aap ka dekha jata hai ki koi pre-IVF test toh nahi hona, koi medicines toh nahi shuru honi. Pre-IVF mein injection mahavari ke 21 din se dia jaate hain. Aap ko medicines di ja sakti hai taki aap ki egg quality better ho.

Ye bahut hi kam proportion patients mei chaiye hota hai. Maan lijiye ki aap ka hysteroscopy nahi hai but aap ke ultrasound mein cavity mein issue dikh rahi hai toh vo hysteroscpy plan kar sakte hain. Ismein dekha jata hai ki koi drug ki koi jarurat toh nahi hai. Dekha jata hai ki ICSI ki jarurat hai ya nahi agar unexplained infertility hai ya fir husband ke sperm mein problem hai. Ek hai freeze all cycle jo PCOS ke patients mein kia jata hai. In sab ke baad chances of conception dekha jata hai. Ye baat karna bahut jruri hai because IVF 100% guaranteed treatment nahi hai. IVF ke failures hain, chances of conception depend karta hai patient ke upar like uski age. Agar aap ki umar 35 saal se kam hai toh aap ke chances of conception 50-60% hi hain. Aap ke chances of conception is pe bhi depend karta hai ki aap ko freezing milti hai ya nahi. Agar aap ko freezing milti hai and agar aap ka cycle fail kar jata hai toh dusri baar bina freezing kare aap ko frozen embryo dia jaa sakte hain. IVF success rate ke baad aata hai IVF cost. Ye aap apne Dr se clear jarur kar lein. Aap dekhein ki cost mein kya included hai and kya excluded hai.

IVF mein kafi hidden charges ho sakte hain jiske baarein mein aap ko pehle hi pata hona chaiye. IVF mehenga hota hai kyuki ismein medicines kafi mehengi hoti hain. Aap ko puchna hai ki IVF ke treatment ke cost mein ICSI ki cost included hai ya nahi. Kya treatment mein medicines ki charges included hain. Kya blastocyst transfer hai, kya koi extra charges hain and freezing ke charges kya hai. Agar aap ko ye sare charges pata honge toh aap financially uske according plan kar sakte hain. Kabhi bhi kisi type ki scheme mein na jaayein kyuki IVF koi kapde ka business hai hai. Aap ko quality treatment lena hai. Koi short-cuts aap ko nahi lene hain. Islia aap ko apne oral records dikhane hain. Humein apne recent 6 months ki investigation leke jaani hai. IVF ke chances pata karne hain and cost kya hai. Ye saari baatein humein pehle se hi Dr ke paas leke jana chaiye taki humare pass sufal consult ho sake. Humara pass sare questions ke answers hone chaiye. Jis se hum decision le payenge and treatment shuru kar payenge. Hopefully, ye information aap ke lia faydemand rahi hogi. Iske alwa agar aap ke koi questions hain toh aap Lybrate ke through mujhe contact kar sakte hain.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for In Vitro Fertilization (IVF) treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details