Thyroid
Hello Friends!
I am Dr. Kanchan Mittal, Homeopath from Ghaziabad. Aaj me apko thyroid ke bare me btaungi. Thyroid curable hai with homeopathy. Thyroid me jo maximum cases hai hypothyroidism ke. Hype means less active. Apki gland less active ho skti hai or pituitary gland jo isko control krti hai, possibilities hain ki use activation kam mil rha ho. Iske symptoms hain hair fall, poor skin tone, obesity, females me menstrual irregularities ka problem ho skta hai. Thyroid females me jyada noticeable hai. Females me puberty, pregnancy and menopausal time pe hormones change hote hain. Treatment me patient ko pura check kia jata hai. Rule out kia jata hai ki thyroid aane ka reason kya hai. Genetically bhi thyroid aa skta hai.
Stress se apke sare glands pe frak pdta hai. Treatment se hormones normal ho jate hain. Baad me iske lia koi treatment require nhi hai. Treatment me 1-1.5 years ka time lag skta hai. Lekin iske baad patient bina medicines ke aram se survive kar skta hai. Homeopathic medicines isme bhut acha kam krti hain. Homeopathic treatment se ye cure ho jata hai or patient without any other medications ache se reh rhen hain.
Thank you!