Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Treatment For Children Born With Clubfeet

Profile Image
Dr. Nargesh AgrawalOrthopedic Doctor • 12 Years Exp.MS - Orthopaedics, Fellowship in Sports injuries, Shoulder & Knee arthroscopy, Fellowship in Paediatric Orthopaedics, Fellowship in Paediatric Orthopaedics
lybrate_youtube

Hello!

Mera naam Dr. Nargesh Agarwal hai. Mein pediatric orthopedic and deformity correction surgeon hun. Aaj me apke samne bachon ki ek aisi bimari jo bachon me janam se upasthit hoti hai, suke baare me batane ja rha hun. Jiska naam hai clubfoot. Clubfoot ko hum usually CTE k naam se bhi jante hain. Majority of parents mere se puchte hain ki ye bilkul correctable hai ya nhi hai, iska kya illaj hai. To mera answer hai ki ye almost 100% correctable hai. Lekin isme illaj hume jitna jldi ho sake utna jdli shuru krna dena chaiye.

Iilaj me humko plaster lgane hote hian. Jisme 4-5 plaster lgte hain. Uske baad me foot correct ho jata hai. Almost 10 se 7 bachon me choti si minor surgery ki jrurat pdti hai. Jisme hum jo piche se nus hoti hai, use dhilla krte hain. Vo day care procedure hota hai. Jise hum tenotomy k naam se jante hain. Parents mere se puchte hain, is surgery ka bache ke foot pe koi effect to nhi ayega? Nhi, bache k foot pe koi effect nhi aata. Jo tendon hum release krte hain, vo almost dubara se regenerate ho jata hai without any side-effect.

Or bachon ko future me chalne se is se koi dikkat nhi hoti. Bacha bilkul normal life jita hai. Isme humko correction k baad me braces dene hote hain. Un braces ko hum bolte hain DB splint or denic browne splint or CTV braces. Ye braces shuru k 3 mahine take, 23 hours in a day pehnane hote hain. Uske baad me 4 saal ki umar tak unhe pehnane hote hain jab bacha sota hai tab, night hours me ya fir din me jab bhi bacha soyega. Usually jo clubfoot hota hai, isme bache ko correction bada acha mil jata hai, Kayi bache hmare pas kafi der se aate hain. Suppose kro 6 mahine par, 1 saal me, 2 saale me aate hain. Jitna deri se hum iska treatment krate hain, usme correction me utni hi dikkat hoti hai.

Number of plasters bhi badh jate hain. Usme volume of surgery bhi badh jati hai. To mera kewal yhi salaha hai ki iilaj jldi se jldi krayein. In fact, within a week, within a month of life treatment start kr dena chaiye. Treatment bada hi simple hai. Plaster lgte hain. 4-5 plaster lgte hain. Uske baad me jrurat pdne par ek choti si minor surgery hai jisme baad me bachon ko brace dete hain. So, success rate is almost 95-98% and the results are very good. Aap is trha ki problem k lia, aap mere clinic pe aa skte hain,  budhwar or shaniwar shaam ko 5-7 available rehta hun aur budhwar or shaniwar, 2-4 afternoon me available rehta hun.

Thank You.

RELATED SPECIALITIES

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Club Foot treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details