Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Aug 10, 2024
BookMark
Report

Tuberculosis (TB)

Profile Image
Dr. Kamleshkumar PandeyPulmonologist • 16 Years Exp.MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, DNB- Respiratory Disease, Diploma in Adult Respiratory Medicine
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Kamleshkumar Pandey, Pulmonologist. Aaj main aap ko TB ke baare mein bataunga. Kin patients ko TB hone ke jayada chances hote hain. Jin patients ka weight kam hai, low BMI, nutrition kam hai, kisi bhi patient ko chronic condition hai like respiratory disease ya fir chronic kidney disease ya fir diabetes, HIV ya fir unko immunosuppressive drugs lena padta hai jiski vajaha se unmein kamjori aati hai, toh ye ssare patients hain TB ke risk pe. Patients ko genetically bhi TB ho sakta hai. Dusra risk hai healthcare workers ko bhi TB ho sakta hai. TB 2 types ka hota hai. Pulmonary and extrapulmonary jo dusre organs ko involve kare. Diagnosis kaise hota hai. Sabse pehle chest x-ray, bulgum ki jaanch se humein pata chalta hai ki TB hai ya nahi. Bulgam ke liya 2-3 special tests hain. Nucleic acid amplification test.

Ye test humein bata deta hai ki ye TB simple hai ya fir drung resistance type ka hai. Extrapulmonary ka diagnosis kaise kiya jata hai? Ismein important hota hai cervical limbs nodes ki swelling, chhatti mein pani ho jaata hai, peat mein paani ho jaata hai, abdmonal TB ho sakta hai. In sab conditons me koshish karte hain ki fluid nikal ke testing karein. Agar fluid nahi nikal sakta toh tissue ko nikal kar testing karein. Confirm kar ke medicines start karne mein patient ke liya hamesha acha rehta hai. TB aisi bimari jismein lamba ilaaj chahiyai hota hai. Isliye humein bimari ki jitni jyada information ho, utna patient ke liya acha rehta hai. Iske baad TB ke management mein medicines. Isliye patient ko mediicnes ke baare mein doctor se ache se puchna chahiyai.

Medicines ke common side-effects bhi puch lena chahiyai. Example ke liya toilet ka color orange ho jata hai. Agar ye baat patient ko pehle se pata hogi toh vo ghabhrayega nahi. Isliye patient ko har ek baat doctor se puch leni chahiyai and agar koi side-effect aaye toh kya action lena hai vo bhi patient ko discuss kar lena chahiyai. Next important point hai ki patient ko treatement regular lena hai. Bich mein treatment band nahi karna hai. Medicines lene se patient ko bahut acha lagne lagta hai. Toh patient mein tendency ho jayegi ki vo medicines band kar sakta hai. Agar medicines band hui toh TB kharab mein convert ho sakta hai jise MDR TB kehte hain. So, important hai ki patient ko apni drug duration puri karani hai. Regular follow-up rakhna hai doctor ke sath.

Taki doctor identify kar sake ki patient mein kitna sudhar hua hai. Ek toh dekha jata hai ki taklif kam hui hai ya nahi, patient ka weight kitna badha hai kyuki ye imporvement ka sign hai, patient ke new tests ke according bimari kam ho rahi hai ya nahi. Isliye regular follow-up bahut jaruri hai. TB ke treatment ke sath patient ko healthy nutrients lene hain. Patient ka protein intake acha hona chahiyai, multivitamins lena chahiyai. TB patient ko sath mein HIV, diabetes ya fir koi aur chronic bimari ho sakti hai. So, har bimari ko TB ke time pe utna hi important lena hai jitna vo TB ke bina hoga. Important hai ki mil jul ke har problem ko equally tackle karein. Patient ko in sab baaton ka dhayan rakhna hai. TB easily treatable hai. For more information, you can contact me through Lybrate.

Thank You!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Coughing treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details