Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Urinary Tract Infection

Profile Image
Dr. Amit AgarwalPediatrician • 20 Years Exp.MD - Paediatrics, MBBS, FISPN & FISPN - Pediatric Nephrology
lybrate_youtube

Hello,

Me Dr. Amit Agarwal, Pediatric Nephrology. Aaj me apko urinary tract infection ke bare me btaunga jo bache kabhi na kbhi face krte hain. Iska mtlb hai urine me infection. Urine me infection ek early sign hai. Ye btata hai ki bache ke urinary me kuch problem hai ya ho skti hai. Humne urinary infection ko 3 parts me divide kia hai. Agar ye 1st year of life me ho rha hai to hume ise bhut serious lena chaiye. Quki kisi bhi infant ko urinary tract infection usually nhi hota hai. Iske evaluation ke 3-4 tools use kia jate hain. Jisme sabse pehla ultrasound hai. Lekin ultrasound 100% proof nhi deta hai. Iske lia hmare pas or modalities hain jaise MCU, DTPA. MCU se dekha jata hai ki urine bache me upar ki traf to nhi ja rha hai. Bachon ko anti biotic bhi dia jata hai jis se ki baar baar infection na ho. Constipation ko prevent krna sabse important chiz hai.

Agar constipation hai to sabse pehle use treat krna chaiye. Hume ye bhi dhyan rkhna pdta hai ki jab ise diagnose kia gya tha to iska sample kaise collect kia gya tha. Agar bacha puri trha se toilet krne ke lia trained nhi hai to catheter daal ke urine ka sample collect krna chaiye. Parent darte hain ki hum catheter daal ke sample kaise collect krenge. Lekin ye simple method hai. Jo urine apne test ke lia rkha hai, use ghar pe na rkhen. Immediately lab me de. Agar ye ghar me rkha rhega to contamination ka chance badh jata hai. Iske lia hume decide krna hota hai ki kis type ka treatment better hai. Isme surgery ka role bhut kam hai. Surgery kidney failure ko prevent nhi kregi.

Hmara target prevention of infection hona chaiye so that bacha normally grow kre. Iska treatment 10-14 days chalta hai. Prevention constipation ko avoid kr ke hi kia ja skta hai. Is problem ka shi ilaj krna chut jruri hai. Bache ko pura evaluate krayein.

Thank You!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for UTI treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details