Uterine Fibroids
Hi,
I am Dr. Surekha Jain, Gynaecologist. Aaj hum baat karenge fibroid uterus ke baare mein. Ise bache dani ki rasoli bhi kehte hain. Ye fibroid us age mein hota hai jis age mein aurat garbh dharan karti hai. Ye rasoliyan mahina aane se pehle and mahina band hone ke baad kam hoti hain. Lekin agar menopausal age mein agar ye aaye toh ise gambhrta se liya jata hai. Ye problem 30-40% auraton mein paayi jaati hai. Iske hone ka karan bahut sahi se nahi malum. Ye problem unmein jyada hoti hai jinhone kabhi shaadi nahi ki and bacha paida nahi kiya. Ye kaise patient ko preshan kar sakti hai. Ye nirbhar karta hai ki rasoli kaha hai aur kini badi hai. Ye rasoli bachedani ki thickness ke bich ho sakti hai. Aur ye endometrium mein bhi ho sakti hai. Ye bachedani ke bahar bhi ho sakti hai. Aur ye aise bhi ho sakti hai ki aap ke pure peat mein ye ghume. Kabhi kabhi ye patient ke liya koi problem nahi kreate karti.
Use pata bhi nahi chalta ki use rasoli hai. Bahut sare patients mein iska koi symptom nahi hota. Lekin ye kis tarah ki problem kar sakti hai. Agar bache dani ki andruni satah par hai to patient ko baar bar aur jyada bleeding hogi. Periods ke alawa kabhi bhi bleeding ho sakti hai. Patient pregnant nahi ho payegi aur agar ho bhi jata hai toh abot ho jayega. Agar deewar mein hai toh bachedani ka size bada ho jayega. Bharipan lagega, pishab baar bar ayega, intercourse mein paon ho sakta hai, kamar mein bhi dard ho sakta hai. Agar ye rectum mein pressure daal rahi hai toh motion jaana bhi feel ho sakta hai. Agar peshab ki thali par pressure hai toh baar baar urine aata hai. Iska pata kaise chalega. Iska pata tab chalega jab aap Dr se check-up karayeinge. Correct diagnosis ka dusra tarika hai ultrasound. Agar humein detail information chahiyai toh 3D and 4D ultrasound bhi hota hai.
And MRI bhi kara sakte hain. Kabhi kabhi mariz ko 7-8 rasoliyan bhi hoti hain and patient ko pata nahi chalta, pregnancy bhi ho jaati hai. Patient ko koi problem nahi hoti. Lekin jab ye andar ki side aa jati hai toh pregnancy hone mein dikkat hoti hai aur agar ho jaati hai to patient ka abortion ho jata hai. Patient ko bar bar bleeding hoti hai. Patient ko periods bhi hote hain but kabhi bhi bleeding ho sakti hai. Kabhi kabhi treatment ki koi jarurat nahi hoti hai, patient enopause mein bhi aa jata hai aur rasoli dkhatam ho jati hai. Iske alawa medical treatment bhi hai. Medical treatment unhein diya ja sakta hai jinke bachedani nikal nahi sakte ya fir operation ke layak nahi hain. Medical treatment mein bahut sari medicines bhi hain. Kuch aisi medicines bhi hain jo sirf rasoli ko hi target karti hain. Ye medicines Dr ke supervision mein li jaati hai. Is se bleeding ka problem kam ho jata hai. Size bhi kam ho jata hai.
But jarur nahi hai ki size bilkul normal ho jaaye. Ek treatment hai uterine artery embolization. Usmein jo blood supply karne vali uterine artery hai use block kar diya jata hai. Is se fibroid ko blood supply milni band ho jaati hai. But ismein dusre rasoliyan badi ho jaati hain toh dubara procedure karna padta hai. Agla surgical procedure hai myomectomy. Vo un patients mein kiya jata hai jinhein bachon ki jarurat hai. Myomectomy durbin se bhi hoti hai aur agar problem jayada hai to peat bhi kholna padta hai. Experts aap ki sari rasoliyan nikal dete hain. Is se patient khud bhi conceive kar sakti hai ya fir IUI, IVF se bhi ho sakta hai. Agar patient ki family puri hai and bache aur nahi chaoye toh bachedani nikali bhi ja sakti hai. Ye surgery durbin se bhi ki jaati hai. Agar aap ko rasoli hai toh Dr se consult karein. Vo aap ko assurance de denge ki aap ko treatment ki jarurat hai ya nahi. Agar aap ko koi bhi symptom hain toh Dr se jaanch karayein ki aap ko rasoli hai ya koi aur karan hai.
Thank You.