Viral Hepatitis
Namaskar,
I am Dr. Piyush Ranjan, Gastroenterologist. Aaj me apko viral hepatitis ke bare me btaunga. Ise jaundice kehte hain. Ye 4 types ke virus se hota hai. Hepatitis A, B, C & E. Hepatitis A & E polluted water lene se hota hai. Iske symptoms hain fever, vomiting and yellow eye. Yellowish eye ka problem 2-4 weeks tak rehta hai. Ye bimariyan liver ko damage nhi krti hain. 1/200 person ko liver infection ho skta hai and liver function me problem aa skti hai.
Aise me blood ke thin hone se bleeding ho skti hai. Liver transplant ki jrurat bhi pad skti hai patient ko. Hepatitis B & C contaminated blood, injections or unprotected sex se ho skta hai. Hepatitis B & C liver ko damage kr skte hain. Is se liver cirrhosis ka problem ho skta hai. Iske symptoms hain blood in vomiting, liver cancer. Aaj ke time me kafi successful medicines available hain jinse hepatitis B ko control kia ja skta hai. Hepatitis C ka treatment kafi successful hai. Agar apko liver se related koi problem hui hai ya blood lia hai apne to hepatitis ka test krayein. Is se bachne k lia aap Dr se jrur consult kren taki aap is se liver ko khrab hone se bacha saken.
Dhanywad!