Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: May 29, 2020
BookMark
Report

Viruddha Ahara - All You Must Know!

Profile Image
Dr. Shashank AgrawalAyurvedic Doctor • 12 Years Exp.BAMS, Post Graduation Diploma In Emergency Medicines & Services(PGDEMS), MD - Alternate Medicine
lybrate_youtube

Hello,

My name is Vaidya Shashank Agrawal and today we are going to discuss a very important health topic which has a very huge effect on everyone’s life and that is viruddha ahara. First of all, I would like to tell you about Ayurveda. Ayurveda is the science of life and the world’s oldest holistic approach towards health. It emphasizes good health, prevention and treatment of chronic illness through lifestyle processes. Svasthsya swatha ayushya rakshanm, atursya vikar prshanamch matlab swasth vyakti ke swathya ki raksha karna aur rogi ke vikaro ka upchar karna, ye iska pramukh udeshya kaha jata hai. Now we would like to talk about viruddha ahara, jo padarth dhatuo ke virudh guddhng wale, dosho ko praturpit karne wale hote hai unke sewan ko virudh ahar kaha jata hai. Jinke sewan se hume kisi bhi tarike ka koi bhi rog ho sakta hai usko hum virudh ahar kahte hai jaise agar hum dudh ke sath mood, chana aadi dalo ka agar upyog karte hai ya fir aalu, mooli jaisi sabjiyo ka agar hum dudh ke sath upyog karte hai ya machli lete hai dudh ke sath toh ye virudh ahar hai. Ya dudh ke sath hum namak ya khatti cheejo ka upyog karte hai toh ye bhi virudh ahar kaha gaya hai. Dahi ke sath mein udad, gud, kali mirch ya kela ka agar hum upyog karte hai toh ye bhi virudh ahar hai. Ghee, tel, shahad ya pani, inko agar hum sam bhag mein, inme se do chejo ko agar hum sambhag mein upyog karte hai toh ye humare shareer pe bahut hi haanikark prabhav daalte hai, inko agar hum shahad aur ghee isko alag alag agar hum upyog kar lete hai toh jaise shahad aadha aur ghee uss se double, toh kaafi rogo mein iska upchar kiya jata hai. Aur, jaise garam aur thande ka hum ek sath mein upyog karte hai jaise cold drink ke sath mein chai ka agar hum use kar rahe hai toh ye bhi nirvirudh kaha gaya hai isko ayurved mein. Dahi aur shahad ko garam karna sanskar virudh hai, koi bhi agar aisi thandi cheej ko hum agar garam karke use karte hai toh vo sanskar virudh hai. Aur koi bhi humara jo bhojan hai, adha kachcha hai vo bhi nahi khana chaiye, jyada paka hua hai vo bhi galat hai, aur agar hum usko high temperature pe garam kar rahe hai jaise junk food jitne bhi hote hai hum unko microwave mein garam karte hai toh vo bhi bahut galat hai shareer ke liye ya fir hum fridge mein rakh kar usko use karte hai toh vo bhi humare shareer pe bahut hi hanikarak prabhav dalta hai aur vo bhi virudh ahar mein laya jata hai. Iss prakar ke virudh ahar ke sewan se bal, budhi, veerya, ayu ka nash aur shareer mein vibhinn rog jaise napunsakta, andhatva ya fir jo panch humari gyanendriya hai, unme vikruti, ya fir sunai kam dena ya saans lene ki pareshani, ya safed daag, jo ki safed daag ka mukhya kaaran hi virudh ahar hai. Dudh ke sath hum agar machali ka sewan karte hai toh vo mukhya karan hai safed daag ka. Aur ashtobhagm, jo aath prakar ki asadhya ayurved mein batayi gayi hai unka sabka karan virudh ahar hi hai.aur peit ke jitne bhi rog hai, amlpit hai, bhagandar hai, kust rog hai, inn sabka karan virudh ahar kaha gaya hai. Atah, patya-apatya ka vivekar, humasha patyakar aharo ka hi upyog karna chaiye, apatyakar ahar ka hume upyog nahi karna chaiye. Aur agar hum agyanwash kisi bhi bhul se maan lo apni koi bhi virudh ahar ka sewan kar lete hai aur uss se hume koi bhi beemari utpan ho jati hai toh hume vaman vivevhan adikar se apne shareer ka upchar karna chaiye aur kisi achche vaidya se paramarsh lekar apne shareer ke rogo ka upchar karana chaiye. If you have any issues, any disease, you can contact me through lybrate and you can directly book an appointment online.

 Thank you.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Metabolic Disorders treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details