Way Of Homeopathy Treatment
Hi,
I am Dr. Abhay S Patil, Homeopath. Main 25 years se practice kar rha hun. Mai classical homeopathy practice karta hun jismein hum patient ko detail mein study karte hain. Jaise patient ka nature and eating habits dusron se kaise alag hai. Homeopathy mein hum individuals ko treat karte hain not in parts. Dekha jata hai ki 90% problems stress ki vajha se hote hain, environment ki vajha se hote hain. Inki vajha se aap ki immunity kam ho jati hai and jo aap ko chronic disease ki or le jati hai. Myth hai ki homeopathy bohot slow kam karti hai. Homeopathy ke side-effects hote hain and steroids bhi hoti hai. But ye sab bilkul galat hai. Homeopathy fast kam karta hai.
Humein aap ki har problem ko homeopathic language mein convert karna padta hai. Usmein agar kuch galat ho jayega to treatment mein failure ata hai. Chahe koi choti bimari hai ya badi, homeopathy mein sari problems ke liye treatment available hain. Ab jo patients self-medications kar rahen hain vo nhi karna chaiye and homeopathy mein aisa koi bhi concept nhi hai. Kyunki homeopathy mein specific medicines aate hi nhi hai. Agar aap ko koi bina prescribe medicines de rha hai to vo aap ko effect nhi karti and aap ki problem bhi solve nhi hoti hai. Agar patients fir bhi lete hain to uske side-effects bhi ho sakte hain. Agar aap homeopathic medicines bhi apne aap loge to uske bhi side-effects aap ko honge. And chances hote hain ki vo aap ke system ko damage bhi kar sakta hai. Aisa log mante hain ki homeopathy mein pehle problem badhti hai and baad mein kam hoti hai to ye contrary belief hai.
Lekin majority cases mein aisa nhi hota hai. Ye skin treatment mein jyada dekha jata hai. Aisa kha jata hai ki homeopathy mein steroids hote hain. Ye ek myth hi hai. So, first of all steroids sari bimari mein kam nhi karta hai. Allopathy mein steroids ke sath anti-biotics bhi prescribe ki jati hai. Steroids mein immunosuppression hota hai. Aap ki resistance power kam ho jati hai. But homeopathy exactly opposite kam karta hai. Hum immunity ko badhate hain. Aap ko facial hair aata hai, aap ka weight badhne lagta hai, diabetics ka diabetes badhne lagta hai, swelling aa jati hai body mein. Jo aap ko homeopathy mein kabhi dekhayi nhi deta hai. Homeopathy vaccination ke jaise kaam karta hai. Hum patient ko ek hi medicines multiple conditions ke lia dete hain jis se vo thik jata hai. Aap ko koi bhi difficulties hain to aap humein Lybrate ke through contact kar sakte hain.
Thank You!