Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: May 22, 2024
BookMark
Report

Weight Management - Things You Should Know About It

Profile Image
Dt. Arti JainDietitian/Nutritionist • 19 Years Exp.M.Sc - Dietitics / Nutrition, Certification In International Sports Nutrition, PG Certificate In Diabetic Educator, P G Diploma Nutrition & Dietetics, PGHRM, Diploma in Clinical Cosmetology, Diploma in Obesity managemnt, Diploma in Cosmetology, Skin aesthetics and tricology, Diploma in Trichology
lybrate_youtube

Hello,

 I am Dt. Arti Jain, Dietitian/Nutritionist, I have more than 14 years of experience. Obesity is a very small word but sike piche bahut sare harmful affects hain. I would like to share 1 fact with you. According to ICMR report 2015, around 135 million people obesity se affected hain. Globally 650 millions log aise hain jo obesity se suffer kar rahein hain. Iski vajaha se 2.8 million death ho rahi hain because of obesity. Ye humari body ke sath aisa kya karta hai? Mai aap ko conditions explain karti hun. Jaise hi aap apna day start karte hain, you start feeling lethargic. Shaam hote hote aisa lagta hai ki aap ki body mein energy bachi hi nahi hai. Jaise hi aap kisi activity ya sports mein interest show karte hain, but because of obesity aap ki body se flexibility chali jaati hai. Thode se exertion ki vajaha se hi aap ki body suffer karne lagti hai. Aap ko blood pressure, heart disease, cholesterol and bahut sari other problem hain. Aap ko fatty liver, infertility, PCOD, thyroid hota hai. Aise konse reasons hain jinki vajaha se aap obesity se suffer karte hain. Sabse pehle hai long eating pattern. Jaise ki you are traveling a lot aur aap bahar ka khana khate hain.

Aap ko pata hi nahi hota hai ki aap ko kis type ka food lena hai. Hum less fibre lete hain jiski vajaha se aap dekhte hain ki aap weight put on karte hain. Kuch conditions aisi hoti hain ki hum dekhte hain ki humara kitchen preservative food se bhara hua hai. Junk food ka involvement bahut jayada hota hai. Hum refines flour jyada lete hain. Iski vajaha se aap ki food choices healthy se unhealthy mein convert ho jaati hai. 2nd point hai lifestyle. Agar aap ki life sedentary lifestyle hai toh aap dekhenge ki aap bahut kuch karke bhi body ko sahi pattern pe nahi laa paate hain kyuki humara almost day kahin na kahin chair pe baith ke hi jaata hai. Dekha jata hai ki activities ke lia interest hi nahi hai aur day bhi nikal gaya hai. 3rd is stress factor. Agar aap housemaker hain, ghar pe hi rehte hain toh aap dekhte hai ki day today task ke lia stress hota hai. Agar aap bahar jaate hain, business karte hain toh aap dehenge ki market competition ke lia aap ko stress hai. Agar aap service karte hain toh kahin na kahin apni position ko maintain karne ke lia aap stressful hain. Itni stressful life mein hum apni health ke baare mein bhul hi gaye hain. Ye sari conditions aap ke haath mein hai but you are not dedicated to recover your health.

So, our diet for health weight management program humne isi tarike se design kia hai jo ye sare challenges ko bhi consider kar ke weight loss mein help karta hai. It is totally based on your actual intake and clinical fitness. So, mai aap ko btati hun ki aap obesity se kaise fight kar sakte hain. Kuch tips mai aap ko dena chahti hun. Jasie ki aap se pehle eating pattern ke baare mein baat karte hain. Apne kitchen mein healthy food ko badhane ke lia kuch varieties increase karein. Junk and preservative food ko aap apne kitchen se hataiye. Jo aap cook kar rahein hain toh usmein healthy food ko priority dein. Vegetables and fruits ko diet ka part banayein. Whole grains and legumes ko diet mein include karein. Nuts jyada lein. Iske alawa aap apne lifestyle mein correction kar sakte hain. I know you do not have time or activities and 90% answers aise ho hote hain. So, ye management karein ki aap ko time kaise milega activities karne ke lia. Like office mein agar koi scope hai, morning ya night mein kuch time hai. Stress agar aap leneg toh stress hoga and agar aap nahi sochenge toh koi stress nahi hoga. Stress handle karne ke lia bahut sare tarike hain like hobbies aap apni dekh sakte hain. Iske alwa aap yoga and meditation kar sakte hain. I wish you all eat heathy and be happy. Follow healthy diet.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Weight Loss treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details