Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Aug 17, 2021
BookMark
Report

What Is Rhinoplasty?

Profile Image
Dr. Ajaya KashyapCosmetic/Plastic Surgeon • 42 Years Exp.American Board of Plastic Surgery, , American Board Of General Surgery, MS - Dermatology, M.B.B.S
lybrate_youtube

Hello,

I am Dr. Ajaya Kashyap, Today I will talk about rhinoplasty. Rhinoplasty procedure hai jis se naak ki shape change hoti hai. Kayi baar function hai like breathing change ki jaat sakti hai. Sabse pehle vo kon hain jinhein rhinoplasty ki jarurat padti hai. 2 tarah ke log hai jinhein iski jarurat hoti hai. Ek toh jo khubsurat lagna hahte hai aur durein vo hai jinki naak mein koi problem hai like saans lene mein koi problem ya fir saans lene ke jo passages hain unmein kahin na kahin blockage hai. Jo khubsurat lagna chahte hain. Jinko apni nose ki shape change karani hai like nose uthi hai, patli hai ya fir moti hai, unke lia cosmetic rhinoplasty ki jaati hai. Ye surgery 2 types ki hoti hai. Ek hoti hai open jismein ek chota sa cut dia jata hai ar nose upar uthayi jaati hai. Nose ki bones ko modify kia jata hai. Dusri hai close rhinoplasty jismein vahi sari chizen bina kisi cut ke ki jaati hai. Jismein patient ko jiski jarurat hoti hai vo surgery di jaati hai. Kisi patient ko jarurat hoti hai ki tip pe kaam kia jaaye. Open rhinoplasty behtar rehti hai. Ismein sab dekha ja sakta hai and precisely sara kam kia ja sakta hai. Jo close rhinoplasty hai jaise kisi ke yahan hump hai ya koi vikriti hai jaise ise valve kehte hain, usse kholna ho ki shavas ache se aa sake.

Nose mein ek septum hoti hai, usko khol ke sidha kia ja sakta hai agar vo tedha hai. Naak jitni uchi hogi utna angel kam hoga aur nihi hogi toh angel kam ho jayega. North east valon ki different ho hai and punjab ke logon ki different hoti hai. South ki different hoti hai. Ye ispe bhi depend karti hai ki chehra chooda hai ya patla hai, is angel ka calculation kia jata hai. Ye striyon mein ideal mana jaata hai 110 degree. Purshon mein 100 degree ideal mana jaata hai. Iska parabhav smile pe bhi padta hai. Kayi baar hota hai ki jab hum muskurate hain toh nose choodi ho jaati hai. Ya fir nose aage jhuk jaati hai. Isko bhi thik kia jaa sakta hai isi process se. Patient ke purre face ki pehle study ki jaati hai ki kaise changes karne hain. Dekha jata hai ki kya type kis ke upar khubsurat lagega. Kayi baar hum 3D pictures bhi lete hain aur hum dikhate hain. Usmein thodi modification ki jaati hain. Hum patient ko dikhate hain ki use kya chaiye aur kya nahi.

Surgery se pehle calculate kia jata hai ki kitne mm ghatana hai aur badhana hai. Jab surgery karte hain toh septum dekhte hain and saans lene ka tarika dekhte hain ki vo thik rahe. Agar koi dikkat hai toh use bhi thik kia jata hai. Aur jinka thik hai already toh unke mein major changes na karke bus beauty modification dekha jata hai. Hump ki bone ko niche kia jata hai. Andar se nose ko dekha jata hai aur cartilage mein changes kia jaate hain taki nose achi laage. Agar jyada uthi hui hai toh thoda sa niche kia jaata hai. Angel ko aur thik kia jata hai. Toh nose ke aesthetics anadar se bhi pata chalte hain. Kisi ki skin moti hoti hai toh kisi ki patli hoti hai, us hisab se bhi modification kia jata hai. Ye sab karne ke baad hi surgery ki jaati hai. Ye sugery mai karta hun aur fir sham tak mariz ghar jaa pata hai. Uske baad sujan rehti hai toh 7 ya fir 8 day pe stitches nikale jaate hain. Jo plaster lagaya jaata hai use bhi nikal dia jata hai. 2 weeks ke baad bhi swelling thodi rehti hai jo bahar aane jaane mein pata chalta hai.

Uske baad swelling aap ko pata chalti hai but kisi aur ko pata nahi chalti hai. Best result rhinoplasty ka 1 saal mein visible hota hai. Lekin aam toor pe kareeb kareeb sabhi log ki rhinoplasty karte hain vo surgery se kafi behtar lagne lagte hain. Halki sujan and cold rehta hai. Iske complications minimal hi hain. Lekin kuch logon ko touch-up ki jarurat padti hai. Vo procedures aam toor pe chote hote hain. Agar kabhi jarurat padi to 5-7% log hote hain jinmein ye jarurat padti hai. Bhaga doodi ki jaa sakti hai kuch hafton mein hi. Physical exercises bhi sari allow hoti hain. Jo computer pe karne ka kaam hai vo bhi aram se kia jaa sakta hai. Kam pe aap jaa sakte hai 8 din mein. Agar aap chahte hain ki logon ko patana chalen toh aap 1-2 weeks mein office ja sakte hain. Aap ko koi bhi injury avoid karni hai. Baki aap sare kaam aram se kar sakte hain. Lambe time ki complications ki sambhavna kam hai. So, mere hisab se rhinoplasty unko plan karni chaiye jinko nose apne face ke according thik nahi lagti. Jinko saans lene mein dikkat hoti hai vo bhi rhinoplasty kara sakte hain and septoplasty kara sakte hain.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Rhinoplasty treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details