Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

What You Need To Know About Urinary Infection And Prostate Cancer?

Profile Image
Dr. Sudhir KhannaUrologist • 42 Years Exp.MNAMS - Urology, MCh - Urology, DNB - General Surgery, MS - General Surgery, MBBS
lybrate_youtube

Namaskar! Mai Dr. Sudhir Khanna, chairman, senior consultant, department of urology, Sir Ganga Ram Hospital, New Delhi, mai pichle 29 saalon se kam kr rha hun.

Apko, public ko main urine problem ke baare mein awagat krana chahunga. Jo sabse common problem hai urine ki, usay BPH kehte hain. Ye normally 60 saal se upar vale logon ko affect karti hai or isme symptoms bahut kisam ke ho sakte hain. Sabse common symptom hota hai peshab jaldi jaldi aana. Next question ye hota hai ki logon ko ye nahi maloom ki normal kis ko kehte hain. 7 baar tak peshab karna din me, is normal. Or ratri me kisi bhi vayakti ko peshab karne ke lia uthna nahi chaiye. Agar vo ek baar se zyaada uth raha hai, to vo disease ka indication hai.

Or din mein 7 times se jyada agar peshab kar rha hai, to usko bhi problem ho sakti hai. Vyakti ko agar peshab karne jana hai to usko wait nahi karna chaiye. Agar usko wait karna pad raha hai or peshab ki dhaar patli hai, peshab me zor lagana pad raha hai ya peshab aant me boond boond kar ke aata hai ya peshab karne ke baad me usko tasli nahi ho or usko lage ki humein thoda peshab or aa jaata hai , to ye BPH ke symptoms hain. Kisi vyakti ko peshab mein jalan hona, peshab aaye to uska dood ke jana, ya jaate jaate kuch boond nikal jana, ye bhi isi bimari ke lakshanon me ata hai.

Or agar bimari apki badh jayegi, to apko peshab me khoon bhi aa skta hai or fever bhi ho skta hai jisko hum UTI bolte hain or rya vayakti ka peshab bhi band ho skta hai. To in symptoms me se apko agar ek bhi symptom ho to aap apne urologist se mile. Investigation pe hum sabse pehle uske urine ka test krte hain ki usme infection to nhi hai. Urine culture test nhi krana hota hai, urine routien krana hota hai. Fir hum ek ultrasound krte hain jisme kidney, ureter or bladder ko dekhte hain, prostate ka size dekhte hain or sabse important chiz hai ki peshab krne ke baad me uske bladder me kitna urine ruk gya, isko hum ultrasound ke madhyam se pta lgate hain. Or teesra test hai uroflammatory. Ek machine hai jisme us vyyakti ko peshab karna hota hai or us se hum dekhte hain ki raaste me rukavat to nahi hai.

Quki ye ek mithya hai ki ultrasound thik hai to sab thik hai. Kareeb 60K marij hmare pas hai jisme ki 54K dawaiyon se hi kam kr rhe hain or pichle 30 saal se vo dawaiyon p acha perform kr rhen hain. To operation kewal 10% ka hi hota hai. Operation durbin se hota hai, koi tanka nhi lgta. Or usko hum behosh bhi nhi krte. Rid ki haddi me ek tikka lgate hain. Pain nhi hota or durbin se hum catheter daal dete hain. 3-4 din ke baad jab hum catheter nikalte hain, to uske bad pateint ki sari taklif thil ho jati hai or vo apna normal work pe ja skta hai. Isme patient ko ek or precaution lena hota hai ki usko kabzi nhi honi chaiye. Quki is s bleeding shuru ho skti hai. Isi me ek ciz or hoti hai, cancer prostate.

Jab hum rectal examination karte hain patient ka or hume aisa lagta hai ki prostate ki feeling normal nhi hai, to hum ek test karate hain PSA or agr PSA jyada hai to hume uska MRI krna pdta hai, or agar usme cancer milta hai to hume uski biopsy krni hoti hai. Cancer prostate me ghabrane ki avshakta nhi hoti hai. To main udeshaye ye hai ki agar apko zara bhi urine me koi symptom ho to aap apne urologist se milen, vo in tests ko krega or apko rai dega ki apko dawayi se thik kia ja skta hai ya agar operation krna hai to operation krenge. Or agar biopsy krni hai to vo ki jayegi. But kisi bhi trha se chinta nhi krni hai, ghabrana nhi hai quki agar aap ghabrayeinge to bimari badhegi. Or fir ilaj thoda advance ho jayega. Or ultimately apko suffer karna hoga. To ghabrane ki zarurat nhi hai. Doctor ko dikhayein or treatment len or shighar hi thik ho jayen. Thank You!

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Urinary Cancer treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details