Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
AKGs OVIHAMS MEDICAL CENTRE for Homoeo- Psycho Cure n Care with Wellness

AKGs OVIHAMS MEDICAL CENTRE for Homoeo- Psycho Cure n Care with Wellness

Psychologist Clinic

RU - 115, Pitam Pura
4.4
36ratings
1 Doctor
₹ 1,500 at clinic
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of Clinical Psychologist.We will always attempt to answer your questions thoroughly, so that you never have t...read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Thu
Sat
11:00 AM - 08:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

imageviewer
imageviewer

Videos

Sleeping Problem
Sleeping Problem

Hello,

I am Dr. Kaartik Gupta, Psychologist. Today I will talk about sleeping problems. Hum apne clinic mein aise bahut se patients dekhte hain jinko neend ki problem hoti hai. Kayi logon ko neend aane mein time lagta hai, kayi hain jinko neend aa jaati hai but kuch ghanton baad hi neend khul jaati hai. Kayi log hote hain jinki neend subha jaldi khul jaati hai. Agar hum dekhen apna aaj kal lifestyle kyuki humara lifestyle bahut fast hai, kam karne ka time badhta ja raha hai, working hours khatam karne ke baad bhi laptop pe kam karte rehte hain. Toh aise bahut sare karan hain jis se logon ko sleeping problems hone lag gayi hain. Aaj is video ke through hum causes and symptoms ke baare mein baat karenge aur uske baad kya treatment diye ja sakte hain jo dos and don'ts hain. Humein aisa kya nahi karna chaiye jis se humein sleeping problems na hon. Maximum time log laptop ya phone pe hi spend karte hain. Bahut sare log sone se pehle phone use karte hain. Log video dekhte hain, gaane sunte hain, ye sabse bada karan hai jiski vajaha se neend ki problem hoti hai. Agar humari aankhon p light padti rahegi toh hum soo nahi paate hain.

Islia humein apne aap ko time dena jaruri hai. Humein apni body and mind ko shut down hone ka time dena chaiye. Jayada kam karne ki vajaha se jayada jagana padta hai and jis vajaha se logon ka caffeine intake badh jata hai ya fir kuch aur karte hain jo sleeping problems create karta hai. YE major issue hai. Jab tak unhein pata chalta hai ki physical and mental kya affect pad raha hai tab tak bahut der ho jaati hai. Iske alawa kuch neurological changes bhi hote hain jis vajaha se sleeping problems hoti hai. Toh ye basic karan hain jis vajaha se neend nahi aati hai. Bahut saare log hain jo bed pe baith kar khana khate hain, TV dekhte hain. Bed humare sone ke lia hai and humein ye chiz realize karni hai. Bed humein sirf sone ke lia hi use karna chaiye. Bed ke through aap brain ko confusing messages na dein ki aap saare kam ed pe hi karein. Coming to the treatment part jaisa ki humnein discuss kia ki bahut saare lifestyle issues hain jiski vajaha se ye dikkat hoti hai.

So, ab hum dos and don'ts ke baare mein baat karenge. Aap ko light off karni hai bed pe jaane se pehle, phone and computer or laptop use na karein. Apne aap ko settle hone ke lia time dein. Aap jis room mein sote hain, us room ko clean rakhein. Tisri baat 1-1.5 hours ka gap rakhein apne dinner and son ke time mein. Agar aap khate hi sone jayenge toh vo bhi aap ki neend disturb karega. In sab ko karne ke baad bhi agar aap ko lagta hai ki dikkat ho rahi hai toh aap Dr se consult karein. Aap ko medicines di jayengi plus counseling and relaxation exercise batayi jayengi. Iske alawa kya nahi karna chaiye aap ko. Kam se kam time spend karein bed pe baith kar mobile and laptop use karne mein. Smoking, alcohol, caffeine avoid karein. Ye aap ke lia harmful hain. Agar aap ko lage kafi time letne ke baad bhi aap ko lage ki neend nahi aa rahi hai toh aisa mat sochen ki need nahi aa rahi hai. Kyuki aise brain aur active ho jayega.

Agar neend nhi aa rahi hai toh ghadi mat dekhen. Time check mat karein. Neend nahi aa rahi hai toh bed se uth jayen aur koi aisa kam karein jo interesting na ho. Jaise newspaper padhen. Jab neend ana feel ho toh vapas aake so jaiye. Agar aisa hota hai ki ek din neend nahi aayi ya kam aayi toh body ka mechanism hota hai ki use recover kar lega next day. Agar aap ki neend ek din achi nahi bhi aayi toh us se ghabarane ki jarurat nahi hai, koi problem us se nahi hogi and body apne aap recover kar legi. So, main aap ko aaj jo bhi bataya hai, in sabko dhayan dein kyuki ye saari baatein bahut jaruri hain aap ki better health and quality life ke lia. In sab ke baad bhi agar aap ko koi problem aati hai toh Dr se consult karein.

Thank You.


Myths And Facts Related To Mental Health
Myths And Facts Related To Mental Health

Hello,

I am Dr. Kaartik Gupta, Psychologist. Today I will talk about mental health. 10th October ko jaise hum jante hain ki world mental health day manaya jaata hai. Iska yahi reason hai ki hum jyada se jyada logon ko aware kar sakein. Toh aaj hum is video ke through iske baare mein baat karenge. Aaj hum mental health se related misconception ke baare mein discuss karenge aur jo actual facts hain unke baare mein bhi baat karenge. Sabse badi baat ki aaj bhi humari society mein mental health ko ek bahut bada tabboo samjha jata hai. Kayi log pagal bhi bolte hain. Jaise koi bhi bimari kisi ko bhi ho sakti hai vaise hi mansik bimariyan hain jo kisi ko bh ho sakti hai. Iska gender, social ya fir kisi bhi chiz se koi relation nahi hai.

Jaise sharirik bimari kis ko bhi ho sakti hai vaise hi mansik bimariyan kisi ko bhi ho sakti hain. Aisa mana jata hai ki mansik bimariyon ka koi treatment available nahi hai. Jabki aaj ke time mein kafi advancement ho chuki hai jismein hum medicines ya fir couseling ke through treatment de sakte hain. Depression, anxiety, OCD, bipolar, autism, ADHD, in sari problems ka ilaj available hai. In sabka treatment aaj ke time mein available hai. Aisa nahi hai ki mansik bimariyan treat nahi ho sakti. Kayi logon ka ye manna hai ki jo log kamjoor dil ke hote hain. Jab ki ye sach nahi hai. Mansik bimariyan kisi ko bhi ho sakti hai. Iska karan koi neurochemical imbalance ho sakta hai jo humare sochne ki shamata pe asar dalte hain and behaviour ko bhi affect karte hain.

Kuch psychological factors bhi ho sakte hain ki humari personality kaisi hai, kaisa sochte hain hum. Humari approach kya hai situation ko leke. Kuch social factors bhi ho sakte hain jaise koi stressful situation exeperience kar rahein hai ya koi traumatic experience raha ho, toh ye karan hain mental health issues ke. Kayi mental health issues ke karan ho sakte hain jaise kisi ki will power kam ho jaaye ya fir uska confidence kam ho jaaye lekin aisa kehna galat hai ki jo weak hain unhein hi mansik bimariyan hoti hain. Kayi logon ko is baat se bhi darr lagta hai ki jin logon ko mansik bimariyan ho jaati hain vo jayada aggressive ho jaate hain, bahut gusse vale hote hain. Media mein chiz ko bahut badha chadh ke dikhaya jaat hai. Dikhaya jaata hai ki person ka khud pe hi control nahi hai. Jabki sachayi ye hai ki jis person ko mental health issues hai vo comparatively jo normal hain, unke comparison mein bhi normal hain.

So, ye galat tarike se movies and serials mein dikhaya jaata hai. Iske alwa ek aur bhi factor hai jo bahut badi dharana maani jaati hai ki jo psychological treatment lete hain ya medicines lete hain, unmein sirf neend ki medicines hoti hain. Vo pura time sote rehte hain. esa nahi hai, kuch medicines hain jinka thoda side-effects hota hai. Aisa hota hai ki patient ko neend aa sakti hai but aisa bhi nahi hai ki sirf neend ki medicines di jaati hai. Luckily, ab logon mein jyada awareness aa gayi hai, kayi celebrities bhi aab aage aake khul ke iske baare mein baat karte hain, toh ab common log bhi isko leke aage aa rahein hain, aware ho rahein hain, aur khud hi treatment ke lia approach karte hain. So, ye hum sab ke lia jaruri hai ki hum physical health ke sath sath mental health ka bhi take care karein.

Thank You.


Addiction
Addiction

Hi, I am Dr. Kaartik Gupta, a well known Psychologist, in Delhi. Aaj hum addiction ke bare me baat krenge. Addiction bohot hi common problem hai. Iske bare me hum aaj briefly baat krenge. Addiction aap ko alcohol, drugs, nicotine, tobacco ya fir kisi bhi chiz ka ho sakta hai. Is se hamare behavior changes aane lagte hain. Ye ek mental problem hai islia aaj hum iske bare me baat krenge.

Jab patient jayada consume karta hai like alcohol or chorne pe use withdrawal symptoms feel hote hain. Patent ko irritation ho sakti hai, shivering, restlessness, anger ye sab hone lagte hain. Jo ye addiction karta hai us se uski family and friends bhi affect hote hain. Islia addiction family problem hai not individual problem. Nasha pure pariwar pe asar dalta hai. Medicines se is problem ko manage karna asan ho jata hai. Yhan pe homeopathic medicines bhi bohot effective hain. Hum iske causes janne ki koshish karte hain ki patient ne kyu ye addiction start kia. Hum dekhte hain ki patient ka problem se deal karne ka tarika appropriate nahi hai. Vo nashe ka sahara leta hai problem se deal karne ke lia.

Craving control pe kaam kia jata hai. Hum relapse prevention ke bare me focus karte hain. Patient try karta hai addiction ko overcome karne ke lia but successful nhi ho pata hai. Relapse prevention is treatment ek important step hai. Isme hum assertiveness training bhi dete hain. Patient ka No kehne ka ability bhi strong hona chaiye. Iske lia bhi hum patient ko training dete hain jahan vo apne aap ko bacha skta hai. Aaj kal patient me behavioral addiction bhi bohot common ho gya hai. Recent case bhi hum dekh chuke hai jahan patient ko netflix addiction ke lia bhi treatment dia ja chuka hai. Ye ek actual me bimari hai addiction ka hona. Agar apko lgta hai ki apko bhi addiction ho gaya hai to aap humse consult kar skte hain jahan pe hum homeopathic treatment ke sath-sath psychological intervention bhi dete hain. In dono ka combination bhi best rehta hai. Thank You.


Anxiety And Its Symptoms
Anxiety And Its Symptoms

Hello Everyone! My name is Dr Kaartik Gupta and I am a clinical psychologist at AKGs Ovihams Medical Center.

Aaj hum anxiety ke baare mein baat karenge. Anxiety bahut hi common and natural phenomena hai. Jo humein kabhi na kabhi kisi na kisi situation mein experience hota hi hai. Anxiety ke apne kuch faayde bhi hain. Jaise hum iske revolution prospect ki baat karen to isne hi ensure kia tha ki sab survive karen. Jab bhi hume kahin na kahin threat mehsus hota hai, hamari jo anxiety ka response hai , vo activate ho jaata hai. Activate hone ka matlb hai ki hamari body is tarike se bani hui hai, ki jab bhi hum arouse hote hain ya jab bhi humein threat mehsus hota hai, hamari body automatically fight-flight-freeze response ke mode mein aa jaati hai. Jiska matlb ye hota hai ki ya to hum us situation mein ladenge, ya to hum us situation se bhaagne ki koshish karenge ya hum bilkul numb ho jaate hain.

Agar hum symptoms ki baat karen anxiety ke ya jo commonly humein mehsus hote hain, uske physical symptoms hote hain , jaise ki hamari heart-beat badh jaati hai, pulse rate badh jati hai, breathing heavy hone lagti hai, kayi logon ko sweating hone lagta hai specially palm mein sweating ho jaata hai, dry mouth hone lagta hai. To ye saare physical symptoms hai anxiety hone ke. Psychological symptoms hote hain ki hum overthink karne lagte hain, hum future ke baare mein darane lagte hain, hum apprehensive hone lagte hain. Ek hi time pe dimaag mein hazaron khayal aate hain, jisko hum racing thoughts bolte hain. Behavioral responses hote hain ki hum restless hone lgte hain.

Kayi log start speaking faster, kayi log fumble karne lagte hain ya even stammer karne lagte hain. Ye behavioral symptoms hain anxiety ke , jo dusron ko bhi mehsus hote hain ya unko dikhne lagte hain. Hum sab anxiety disorder ki baat karte hain , to vo disorder isliye kaha jaata hai ki jab ye anxiety itni zyaada severe ho jaye , ya hum itne zyaada intense ho jaaye or itna frequently mehsus hone lage ki hamari personal, occupational, or social functioning hai, uspe uska impact aane lage. Tab hum anxiety ko ek anxiety disorder kehte hain. Anxiety disorder mein kayi saare sub-types hote hai, jaise generalised anxiety disorder jisko hum GAD kehte hain ya free floating anxiety bolte hain.

Iske symptoms apko lagataar 6 mahine ke liye mehsus hote hain jahan mein aapki body mein stiffness hoti hai, nausea ho sakta hai, restlessness reh sakti hai, palpitaion bhi bahut common hai. Dusra ho sakta hai phobia - jisko hum fear bhi bolte hain. It is fear of a specific situation or an object. Us situation ko hum avoid karne lagte hain, quki humein lagta hai ki ye hamare liye bahut threatening hai or us avoidance ki vajah se hi hamara darr badhne lagta hai.

Ek or disorder hai - panic disorder. Jisme vyakti ko panic disorder hote hain, palpitations hote hain , reathing bahut heavy hone lgti hai. Unhe lagta hai kahin unhe heart attack na aa jaye , ya vo collapse na kar jaayen. To humne aisa kayi baar dekha hai ki jinko panic attack hota hai , vo hospital bhaagte hain especially apna ECG krane k liye, ki kahin heart attack to nahi hai. Ek or OCD hai isme vyakti ko repetitive thoughts ya, images ya impulsive aate hain jo unke control mein nahi rehte or is vajah se patient ko bahut stress mehsus hota hai. Us anxiety ko deal karne k liye vo kuch na kuch repetitive behave karte hain , jisko compulsive bola jaata hai - jaise iski common theme ho sakti hai saaf safayi ko leke. Uska result hota hai ki person starts washing there hand again and again. They take bath again and again. Aise hi kuch log hote hain jo baar baar locks check karte hain , ya gas stove check karte hain ki vo band hai ki nahi. To ye OCD ke symptoms ho sakte hain.

Treatment ki agar hum baat karen to jaise baaki psychological problems hoti hain, anxiety disorder ke liye bhi best treatment and best combination of medicines and psychotherapy hoti hai. Medicines mein psychiatric medicines ho sakti hain, allopathy medicines hoti hain, anxiety medicines and even homeopathy medicines kaafi effective hain. Psychotherapy mein CBT jahan pe hum focus krte hain , vyakati ke jo false perception hain ya jo thinking hai , jaise jo situation itni dangerous nahi hai ya jo threatening nahi hai ya usko threatening soch lete hain, they start thinking of extreme, ki ye ho jayega is situation mein ya vo ho jayega. Through therapy, that is what we try to identify , ki kya thinking process chal rha hai jahan pe error ho raha hai ya problem ho rahi hai usko identify krane ke baad usey hum modify karte hain and the person is trained to think in a different manner or jab unki perception change hoti hai , they start thinking in a different way.

Jab unka behavior hota hai ki they start facing the situation more often, confidently face karte hain, unka anxiety or darr automatically kam hone lagta hain. Iske alawa kuch relaxation exercises hain , jo sikhayi jaati hai vyakti ko , to calm themselves down on general basis, especially jab unko koi anxiety hoti hai, us time ke liye vo cheez kam karti hai. Iske aalwa ye chiz bhi samjhni bahut zaruri hai ki anxiety bahut natural phenomena hai, jo hum sabhi ko hota hai.

To hum anxiety se na darr ke un symptoms ko hone de, vo automatically subside kar jayega, quki hmari body us tarike se program me nahi hai ki hum us stage mein bahut der ke liye persist kar sakte hain ya reh sakte hain. Agar hum anxiety us time hone dein, it will automatically settle down without doing extra any other thing. So, you just be with anxiety and let it pass and you will feel better automatically. Iske alwa agar kbhi apko ya apke parivaar me kisi ko anxiety ke symptoms mehsus hon ya aap observe kar skte hain to aap AKGs Ovihams Medical Center joki Delhi me hai, pitampura, rajouri garden or moti bagh me available hai, aap humse psychological and homeopathic treatment k lia consult kar skte hain. Thank you.


Know More About Depression
Know More About Depression

Hello Everyone!

My name is Kaartik Gupta. I am a clinical psychologist. Aaj hum depression ke bare me bat krenge. Depression jaisa ki aap sab log jante hain bhut hi common problem hai, psychological problem hai. Agar hum sirf India ki bat kren, usme lag bhag har 4 me se 1 insan ko depression ki problem hai. Depression bhut commonly use hone vala word hai. I think sabse pehle jruri hai ki hum smjh len ki depression hota kya hai. Hum sabhi ko kbhi na kbhi low feel hota hai, sad feel hota hai lekin kuch time baad hmara mood thik ho jata hai. Jab hum clinical depression ki bat krte hain to isme main 3 features hote hain, 3 symptoms hote hain jiska symptoms hota hai ki low mood hota hai, loss of pleasure hota hai. Jo pehle apko chizen achi lgti thi, aap enjoy krte the or easy fatigue feel hota hai. Mtlb bina jyada kam kre hue bhi insan ko thakan mehsus hoti hai. Yye sare lakshan kam se kam 2 hafte k lia persist krte hain. Or vo across time rehte hain. Inke alwa concentration me affect aane lgta hai. Uski jo sexual energy hai ya fir loss of libido hai, usme kami mehsus hone lgti hai. Confidence kam hone lgta hai.

Or kayi cases me depression severe hone lga hai. Suicidal behavior bhi dekhne ko milta hai. To ye basically clinical depression ki picture hoti hai. Hum jis tarike se commonly use krte hain ki me depress hun, vo actually clinical depression nhi hota hai. To I think ye sabse jruri hai hum sabko smjhne k lia. Agar hum iske karano ki bat kren ki what causes depression like any other psychological problem, biological, psychological or social factors hote hain jiski vjha se clinical depression ho skta hai. Biological factors me agar hum dekhen to genetic factors ho skte hain. Agar parivar me kisi ko bhi psychological problem ya depression ki history rhi hai to us vaykti ko hone ki tendency badh jati hai. Jaise ki kisi bhi or bimari me hota hai chahe vo thyroid ho ya diabetes ho ya hypertension ho. Isi trha ye bhi hereditary ho skti hai. Dusra hmare dimag me neuro chemicals hote hain jo hmare brain ki functioning ko control krte hain. Unhi me se ek chemical hota hai jisko hum serotonin bolte hain. Isko happy hormone bhi bola jata hai. Studies ne dikhaya hai ki jin logon ko depression hota hai, un logon me jo serotonin ki matra hai jo vo kam ho jati hai.

Vo thoda sa imbalance ho jata hai. Psychological factors ki bat kren to hmara jo prospective hai ya chizon ko dekhne ka nazariya hai, agar vo kafi negative hai, or hmari personality is tarike ki hai agar koi vayakti jo negative prospective rkhta hai, har chiz me problem dekhta hai, un logon ko depression hone ki tendency bhi badh jati hai compared to someone who has a optimum view to life. Social factors me agar kisi tarike ka tanav mehsus hota hai ya koi stressful situation hoti hai jaise kisi ki job chut jati hai ya koi relationship break-up hota hai ya koi or tarike ka stress ata hai to us vjha se bhi clinical depression ka episode initiate ho skta hai. Treatment ki agar hum bat kren to medications me psychiatrist and allopathic medicines hoti hai. Homepathic medicines bhi hain kafi effective hain.

Psychological aspect ki bat kren to psycho therapy hai jisko counsling se bhi jana jata hai. Through CBT which is the form of therapy for treating depression. Yhan pe unke emotions ko handle krne k lia kam kia jata hai. Kaise unke sochne ke tarike ko effective bnaya ja skta hai. Jis s unki functioning better ho ske. Iske alwa jo studies me btaya hai ki combination of medications and psychotherapy is the best form of treatment. Depression ek treatable condition hai. Aaj kal hum kafi celebrities ko dekh rhen hai jo iske bare me open up ho rhen hain and kafi iske bare me bat kr rhen hain. Jiska impact ye hua hai ki logon me iske bare me awareness badh gyi hai. And now they are open to come and see any professional clinical psychologist or any other mental health professional. Agr apko ya apke privaar me ye sare lakshan apko nazar aate hai ya apnea ap mehsus hote hain to aap humse consultation le skte hain. Delhi me hmare 3 centers hai. Ek Pitampura, ek Rajouri Garden or ek Satya Niketan, Moti Bagh me. To aap hmare pas aake homeopathy plus psychological treatment k lia consult kar skte hain.

Thank You!


Doctor in AKGs OVIHAMS MEDICAL CENTRE for Homoeo- Psycho Cure n Care with Wellness

Get Help
Services

Doctor in AKGs OVIHAMS MEDICAL CENTRE for Homoeo- Psycho Cure n Care with Wellness

doctor-profile

Dr. Kaartik Gupta

Psychologist14 Years Exp.
M.Phil - Clinical Psychology, M.Sc Psychology (Clinical), BA - Hons Psychology
₹ 1,500 at clinic

Patient Review Highlights

Very helpful

6 reviews

Saved my life

1 reviews

knowledgeable

2 reviews

Professional

1 reviews

Sensible

1 reviews

Nurturing

1 reviews

Caring

1 reviews

Submit Feedback

Submit a review for AKGs OVIHAMS MEDICAL CENTRE for Homoeo- Psycho Cure n Care with Wellness
Your feedback matters!