Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Arcus Superspeciality Center

Arcus Superspeciality Center

Urologist Clinic

205-209, 2nd Floor, Vikas Surya Galaxy, Plot No. 9, Sector-4 Market, Dwarka
4.7
280ratings
5 Reviews
1 Doctor
₹ 800 at clinic
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

We like to think that we are an extraordinary practice that is all about you - your potential, your comfort, your health, and your individuality. You are important to us and we strive to h...read more

Clinic Timing

Mon
Wed
Fri
03:30 PM - 04:30 PM

Clinic Location

Clinic Images

imageviewer

Videos

Prostate Problems And Their Prevention
Prostate Problems And Their Prevention

Namashkar dosto.

Main Dr Shalabh Agarwal, Urologist hu. Aaj hum baat karenge prostate ke bare mein. To main aapko bata doon ki prostate apne aap mein ek bimari nahin but sharir ka ek ang hai. Prostate ki bimari ho sakti hai jo old age mein ya young age mein hoti hai alag alag tarike ki aur prostate apne aap mein ek normal healthy organ hai male anatomy ka matlab har purush mein prostate hota hai. To prostate ek bimari nahi balki ek sharir ka ang hai. To doston, prostate jo humara located hota hai jo hamari stithi hoti hai prostate ki jo masana hota hai bladder hota hai, bladder ke niche peshab ki tube jaa rahi hoti hai toh bilkul bladder ki gardan ke niche yeh prostate ki granthi hoti hai, akhrot ki jaisi, akhrot ke size ki granthi hoti hai aur peshab ka rasta iske beech mein se jata hai. Iska main kaam jo veerye hota hai, veerye ka ek main part ye banata hai, sperm ke alawa. To shareer mein iska yeh function hai.

Isme bhin bhin tarah ki bimariya hoti hai jo hum aam bhasha mein kehte hai ki isko prostate hogaya hai ya iske gadbodh fool gaye hai, vo actual mein uske liye medical term hai BPH Benign Prostatic Hyperplasia jisme umar ke sath 40-50 sal ke baad prostate mein maas badh jata hai. Is maas badhne ke karand prostate mein aur bladder mein pareshani aana chalu hojati hai, peshab ka flow kam hojata hai, peshab bar bar jane ki ichcha karti hai, rat ko admi ko kayi bar peshab uthke jana hota hai, peshab ki dhaar jo hoti hai vo kamjor hojati hai, admi ko jor lagake peshab karna padta hai aur iske alawa agar iss bimari ko laparvahi kari jaye, isko chord dia jaye to aage jake kayi tarah ke complications bhi isme bann jate hain.

To prostate ki jo bimari hai jo aam bhasha mein prostate rehmod kaha jata hai vo bimari 40 ya 50 sal ke baad hoti hai. Jo young log hote hai jo 20-40 sal ke log hote hai unme prostate ki bimari jo old age mein hoti hai usse alag hoti hai. Young age mein prostate mein kayi bar infection hojaye ya usme soojan ajaye uski vajah se peshab mein alag alag tarah ki dikkatein ban sakti hai jaisi ki peshab ka flow kam hona, jalan hona, peshab mein jaldi jaldi ana ya niche dard hona nityango mein ye sab cheeze prostatitis mein hoti hai. So, iske liye hum ab kayi bar question karte hai ki iss cheez ko hum kaise prevent kar sakte hai. To ye bimari jaise umar ke sath sath baal safed hojate hai, khaal dheeli hojati hai aisi hi umar ka change hai, umar ke sath jo takaza hota hai vo hai to isko aap agar kahe ki mai isko bilkul rok sakta hoon to vo possible nahi hai. Kayi logo mein jinme genetic ya familial tendancy hoti hai unme iske badhne ki ya iski vajah se jo dikkatein aane ke chances zada rehte hai, iske alawa har admi jiski age badh rahi hai unko prostate ki bimari ho sakti hai.

So isliye isko prevention ke liye koi bahut special cheez nahin hai, prevention ke liye jaise agar aap apna healthy lifestyle rakhte hai, jaise ki apna wajan control rakhna, khane peene mein, charbi, ghee, tel, namak inn sabki matra kam lena, fresh fruits and vegetables, antioxidants, selenium, citrus fruits yeh sab cheeze help karte hain prostate health mein aur ek normal exercise aur apna weight maintain karna, yeh sab cheeze hoti hai prostate ki bimariya rokne ke liye. To ek bat zaroori ye hai ki agar aapko peshab ki bimari lagti hai to aap usko jaldi se samjhe aur jaldi hi doctor se salah le kyunki agar iss cheez ko laparvahi barti jaye iske sath to ye cheez samay ke sath badhti jati hai aur ek stage pe aake isme combination develop hona chalu hojate hai jab isme ilaaj ke sath bhi puri tarah se aapko relief nahi milta. Agar apko peshab mein pareshanian hain toh apne doctor se sampark kare aur iska proper evaluation karaye aur iska proper treatment le.

Dhanyavad!


Dietary Advise For Kidney Stone Patients
Dietary Advise For Kidney Stone Patients

Namaskar doston,

Aaj hum ek bahut hi aam topic, aam ek bimari ya aam ek condition jisko hum kidney stones kehte hai aaj hum uske dietary prevention ke bare mein particularly baat karenge. Urine stones, kidney stones gurde ki pathri apne aap mein ek bahut bada topic hai, sab kuch discuss kar pana sambhav nahi hai lekin han aaj main aapko jin logon ko ya jin patients ko kidney stones bante hain, urine ki pathri banti hai unko kaise hum apne dietary precautions se unke banne ke chances kam kar sakte hai iske bare mein bat karenge. Sanshipt mein bataun to kidney stones ek tarah ke mineral deposits hote hai jo hamari kidney blood ko filter karke peshab banati hai usme 1 part liquid hota hai, ek part minerals ka hota hai. Jo minerals hote hai kidney mein vo deposit ho jate hai aur vo stones ka akar lelete hai. To ye stones kahi bahar se nahi aate aapke apni kidney mein khudse bante hai. Acha ek aur badi common si misunderstanding hoti hai ki gallstones aur kidney stones, gallbladder ke stone kidney stone se bilkul alag hote hai. Gallbladder ke jo stones hote hain vo cholesterol ki vajah se bante hain aur uska kaarand pachan kriya ki bimariyon ki vajah se hota hai.

Jo gurde ke stones bante hai vo peshab mein abnormality ke karand hote hai, gurde ki filtering problem ke vajah se hote hai aur iska gallstone se koi bhi talluk nahin hai. To hum agar baat kare samanyata kis tarah ki kidney stones jo gurde ki pathri hoti hai vo common tareeke ki hoti hain jaise calcium oxalate, calcium phosphate, uric acid, triple phosphate, cystine stones aur kayi tarah ki ye dawaiyan jinse ki jinke pathar ban jate hai but ye condition bahut rare hai. To hum inko alag alag tareeke ke mineral deposit jo hote hai unke unko kis tarah ka stone hai ye janna chahte hai taki usi tarah se hum precautions le sake. Aaj mai jo aapko precautions bataunga vo samanyata general sabhi tarah ke kidney stones ke liye hai aur agar hum particular way baat karein to usme kisme particularly kaunsi vajah se kis tarah ke stones prevent kar sakte hai ye bhi kuch batane ki koshish karunga. To diet mein sabse zaroori cheez hai liquids, hume din mein kareeb 6-8 glass pani lena chahiye, samanyata jo ek glass pani hota hai 200-250 ml ka hota hai aur aisa har ghante jab tak aap jage huye hai, jab aapko yad aata hai to har ghante mein agar 1 glass piyenge to sham tak rat tak aapke 6-8 glass pani complete hojaenge. Zaroori hai ki aap pani ya liquids uniform forms mein le matlab har samay ek tarah se le yeh nahi ki aapne apna kota pura subah karlia aur din mein apne usko chord dia toh vo koi faida nahi dega.

Dusra liquids ya fluids aap sabse best to cheez hai ki aap pani hi le kyunki iske alawa jo bhi cheez lenge usme namak, energy, carbon dioxide, acid products yeh sab cheeze shareer ke andar jaati hai jo faide ki jagah nuksan bhi kar sakti hai. To islye sabse jaruri cheez hai ki aap liquids le, liquids mein pani le. Iske alava dusri cheez jo hum bat kar sakte hain jo dietary prevention ke liye chahiye vo hai ki aapko apne diet mein oxalates ki matra kam leni chahiye. Oxalate sabse common calcium oxalate ke stone hote hai hamare urine vale stones jo bante hai aur agar hum oxalate ki matra kam lenge to inke banne ke chances kam hojate hai. Oxalates jo hamare commonly diet se aate hai log baat karte hai ki jinko kidney ke stone hogaye hai unko tamatar nahi lena chahiye, bhindi nahi chahiye, jo chote beej vale fal ya sabji hai vo nahi lene chahiye kuch hadd tak ye bat sahi hai kyunki inme oxalate ki matra zada hoti hai lekin agar aap soche ki inn cheezo ko band karke mai stone nahi banenge mere shareer mein to aisa nahi hai.

Shareer ko ek balanced diet important hai aur vo balanced diet shareer ko leni chahiye islye jo mai ab aapko cheeze bata raha hoon inko agar balanced way mein lete hai to theek hai lekin agar kisi ki matra adhik lete hai to usko kam karne ki zarurat hai. Oxalate high quantity mein paye jaate hain chai, coffee, dry fruits, hare patte wali sabjiyan, tamatar, baigan, bhindi: ye rich sources hai oxalate ke, inme se agar aap kisi bhi cheez ka atyadhik sevan karte hain to usko kam karne ki jarurat hai, diet se inn cheezon ko khatam karne ki jarurat nahin hai. Dusri jo hum diet mein cheez jo hamari badi common si cheez hai vo hai sodium ka intake, sodium directly hamara namak se aata hai, jo hum khane mein dalte hai ya salad- sabjiyon mein dalte hai, iske alawa indirectly jo hum achar vagrah use karte hai ya processed foods use karte hai, canned foods jo aate hai inn sabme namak ki matra bahut adhik hoti hai. To kidney ke stones banne mein sodium ka bhi ek bahut mukhya role hai. Aapka din bhar ka sodium ka consumption 5gm se zada nahi hona chahiye aur jinko stones bante hai unko apne khane mein sodium ki, namak ki indirectly ya direct sources ki matra kam karni chahiye.

Teesri cheez jo hai stones banne mein jo khastor se uric acid stones jo bante hai unme ek bahut important role hai jo aap animal proteins lete hai. Toh hume apni diet mein animal proteins kam karne chahiye, animal proteins kisi bhi animal sources se to aate hi hai jaisi ki milk and milk products, iske alawa jo aap meat lete hai chahe vo beef ho, pork ho, chicken ho everything har ek cheez mein animal proteins jo jaate hain vo shareer mein uric acid ki matra bhi badhate hai aur stones ko banne ke liye probe bhi hote hai, help karte hai stones banne ke liye. To animal proteins ki matra apne diet se kam karni chahiye lekin sath ki sath protein shareer ke liye bahut zaroori cheez hai to isko aapko dusre source se compensate karna padega jaise ki soya and soya products jo aapke liye calcium bhi provide karte hai aur proteins bhi provide karte hain high quality mein, legumes, matar, peas, beans, rajma, lobia ye sab cheezon mein protein adhik matra mein hote hai aur harmful nahi hote. Iske alava calcium, calcium ek bahut jaruri cheez hai, shareer ki requirement hai, haddiyon ke majbut karne mein kam aata hai aur ek khoon ka ya shareer ka ek bahut important mineral hai.

To islye jaisa ki common myth hai ki calcium nahi khana chahye stones mein to ye cheez sahi nahi hai. Aapko calcium lena chahye jo shareer ke liye bahut zaroori hai aur ek moderate amount mein agar aap calcium lenge to vo stones ko banne mein bhi prevent karta hai. Kaise? Kyunki jo aap calcium diet mein lete hai vo jo hamari diet mein oxalate hote hai unse bind karleta hai, jud jata hai aur salt bana deta hai, ye salt intestine se nikal jate hai. Agar aap calcium nahi lenge to vo oxalate free hota hai aur vo absorbe hoke stone banane ke liye kargar hota hai. To isliye zaroori hai ki aap moderate amount mein calcium le, sahi tarah ka calcium le, koshish kare ki natural calcium le aur supplements kam le. Natural calcium aajkal aapke fortified foods se aata hai jaise ki bread, milk, cereals, corn flakes iske alava beans, milk ya milk products inn sab mein bhi calcium ki matra achi hoti hai. To ye sab cheeze moderate quantity mein leni chahiye aapko.

Calcium diet se bilkul band nahi karna chahiye. Ek aur zaroori cheez hai gurde ki pathri kam karne ke liye vo hai ki charbi, obesity ya fat intake ye bhi aapko kam karna chahiye, iske liye batane ki zarurat nahi hai ki aapko khane mein charbi vali cheeze kam karni chahiye aur apne shareer ka vajan kam karna chahiye. Last jo cheez main kehna chahunga vo hai ki fresh fruits khastor se citrus fruits jinme ki citrate ki matra hoti hai, citrate ek naturally occurring padarth hai jo ki stones banne mein stones banne ke liye inhibitor hai ya stones banne se rokta hai, hamari kidney mein, hamari body mein ye produce hota hai aur aap sources se lete hai vo bhi urine mein secrete hota hai aur stones banne mein, stones banne ke liye ye prevention karta hai. To dosto ye tha detail jo hum jin tarah se hum stones banne ke liye uske percentage, uske recurrence ki chances hum kam kar sakte hain. Ek bar dubara se summarise karna chahunga to daily 6 - 8 glass pani uniformly, kam protein ya moderate quantity mein proteins, moderate quantity mein calcium, kam sodium, kam oxalate aur ek balanced healthy diet containing lots of fruits and vegetables aapko leni chahiye to prevent kidney stones.

Dhanyvad


Hematuria
Hematuria

Hi,

I am Dr. Shalabh Agrawal, Urologist, Aaj me apko Hematuria ke bare me btaunga. Iska mtlb hai urine me blood hona. Iske symptoms hai red or brown color urine. Iska most common cause hai infection. Ye infection, kidney, tube, prostate, urethra me ho skta hai. Tumor in old age can also cause this problem. Peat me chot lgne ya koi accident jo stomach ko effect kre use se bhi ye problem ho skti hai. Urinary tract me swelling hone se bhi ye problem ho skti hai.

Kidney me agar fistula hai to bhi blood aa skta hai. Iske symptom hai stomach pain, frequent urination, burning sensation. Islia apko jab bhi problem ho to proper medical advice len. Ye janna important hai ki ye problem kis vjha se hui hai to ise diagnose krne ke lia hum ultrasound, MRI krte hain. Agar apko aisi koi bhi problem hui hai to make sure ki aap pani jyada drink kr rhen hain. Pani jyada lene se ye dilute ho jata hai and jama hua blood nikal jata hai.

Thank You.


Kidney Stones And Urinary Stones
Kidney Stones And Urinary Stones

Namaskar!

Main Dr. Shalabh Agrawal, Senior Consultant Urologist and Endrologist. Aaj me apko kidney and urinary stones ke bare me btaunga. Ye myth hai ki gallbladder and kidney stones ek hi hote hain. Kidney stones ek mineral deposits hain hmare urinary tract me. Kayi bar kuch medicines lene se hi stone formation hota hai. Ye stones bante kyu hai. Jab salt high ho jata hai urine me, uski vjha se stone ka problem hota hai. Pani and minerals ke bich me imbalance hona iska major cause hai. Kayi bar ye problem genetic bhi hoti hai. Kayi bar urinary tract ki deformities bhi iska cause hai. Agar urine ka flow ruk rha hai body me to vo ek reason hai stones formation ka. Kuch common causes hai urinary obstruction, prostatic hypertrophy.

Iske alwa jin logon ko lambe infection hote hain urinary tract ke ya foreign body hai, spinal cord ke patients hain, un sab me ye stones bante hain. Stones ke symptoms depend krta hai ki stone kha hai. Stone kidney or ureter tubes, urinary bladder, prostate urethrae inme khin bhi ho skta hai. Jhan bhi stone hota hai vhan pain hota hai. Agar ureter tubes me stone hai to apko kidney me bhi pain ho skta hai. Kabhi kabhi pain thighs me bhi ho skta hai. Iske symptoms hai frequent urination, burning or blood in urination. Agar ye jyada severe ho jaye to andar infection hone ke kafi chances hain. In sab ko consider kar ke hi hum investigate krte hain or fir diagnose krte hain.

Agar apko ye symptoms hai to urologist se mile jisme apka ultrasound hoga or dekha jayega ki stone hone ki sambhavna hai ya nhi. Stones ko dekhne ke lia CT scan hota hai. Stone dekhne ke bad iska treatment dia jata hai. Treatment 2 types ka hota hai. Medication or surgery ke through. Jo 5mm se chote stones hote hain, vo apne aap nikal jate hain. Iske lia hum conservative management kr skte hain. Isme apko bhut jyada pani peena hota hai. Iske alwa kuch medicines hoti hai jo stones ko khtm krne me help krti hain. Lekin koi bhi medicine stone ko melt nhi krti hai. Jo stones in treatment se nikal pate hain uske lia hum surgery krte hain. Surgical treatment laser se dia jata hai.

Urine ke raste se hi durbin ke through stones ko tod dia jata hai. Alag alag operations hain jaise URS, ESWL, PCNL. Ab me apko ye btaunga ki isko kaise aap prevent kar skte hain. Iske lia apko paani jayada peena chaiye. Din me apko 2-2.5 litre pani peena chaiye or itna hi apko urine aana chaiye. Agar aap sports me hai or field work me hain to apko apna pani ka intake badhana hoga. Aap nembu pani, lassi, nariyal pani or shikanji bhi le skte hain. Achi diet lene se bhi apka stone banne ka chances kam ho jate hain. Diet me jo chizen stones ko banne ki parvati badhati hai vo hai green leafy vegetables, chocolates, coffee, tea, dry fruits, seeds vali sabzi like brinjal, bhindi, tomato. Apko balanced diet lena chaiye. Apko less salty and less protein and fat intake krna chaiye. Pani ka intake jyada hona chaiye. Ye sab best hai stone prevention ke lia.

Thank You!


Doctor in Arcus Superspeciality Center

Get Help
Reviews
Services

Doctor in Arcus Superspeciality Center

doctor-profile

Dr. Shalabh Agrawal

Urologist24 Years Exp.
DNB (Urology), MS, MBBS
₹ 800 at clinic

Patient Review Highlights

Saved my life

2 reviews

Very helpful

20 reviews

Thorough

2 reviews

knowledgeable

9 reviews

Well-reasoned

2 reviews

Professional

2 reviews

Helped me improve my health

1 reviews

Prompt

3 reviews

Inspiring

1 reviews

Nurturing

1 reviews

Caring

4 reviews

Arcus Superspeciality Center Reviews

V

Verified

Oct 09, 2018

Very good. Excellent

V

Verified

Sep 15, 2018

Good and humble doctor

V

Verified

Jun 21, 2018

It was nice visit for me, I was satisfied to get knowledge and nice consultant towards my problem. He aware me exact sign of decease and I am taking medicine as he prescribed. read less

V

Verified

Mar 18, 2018

Excellent. Patiently heard the patient. Nice meeting.

N

Nitesh Singh

Jul 27, 2018

"I wanted to extend a heartfelt thank you for your fantastic care and advice to my Father . Your quality and integrity as a Doctor and, more fundamentally, as a person, shine through.” Thank You for big Relief !!...read more

View More Reviews

Submit Feedback

Submit a review for Arcus Superspeciality Center
Your feedback matters!