GLOBAL WELLNESS CENTRE
General Physician Clinic
About Clinic
It is important to us that you feel comfortable while visiting our office. To achieve this goal, we have staffed our office with caring people who will answer your questions and help you u...read more
Clinic Timing
Clinic Location
Videos
Types, symptoms and treatment for Diabetes
Hello viewers, mera naam Dr. Ritez Kumar hai. Main M.D Medicine hu and I have a keen interest in treating Diabetes. Aaj hum thoda diabetes ke baare mei jaanege ke kya precautions hai? Kyun hota hai? Aur kaise hum ekatthe ho kar visualize therapy taiyaar karte hai.
Toh pehle hum shuru karte hai ke diabetes hai kya?
Jab bhi hum khaana khate hai toh wo absorb hota hai aur sugar humare blood mein jaata hai. Is sugar ko use karne ke liye insulin naam ki ek hormone ki zarurat hoti hai aur is insulin ka kaam hota hai ki ye aapke cells mein is sugar ko use karwaye. Toh fir, generally diabetes do tarah se hota hai; ya toh aap insulin bana nahi rahe ya aapke body mein insulin resistance hai arthaat insulin aapki body mein kaam nahi kar paa raha hai. Bas inhi do kaarano se diabetes hota hai.
Diabetes ka pata kaise chalta hai?
Generally koi symptoms hote hai jaise ki thakavat aana, bahut zada pyaas lagna, unintended weight loss hona, baar baar pishaab ko janaa, inhi kuch symptoms ke sath diabetes ka diagnosis hota hai. Agar aapke ghar pe kisi ko diabetes hai, agar aap pregnant hai, 30 saal ke upar hai, lifestyle aapki active nahi hai yaani ki baithe rehne ka hi zada kaam hai toh aap apne diabetes ya sugar ka test zaroor karwaye. Diabetes generally do ya teen type ke hote hai ek Type 1 Diabetes hota hai jisme insulin banta hi nahi, iska treatment kewal aur kewal insulin hi hai. Zada tar logo mein Type 2 Diabetes hota hai jisme insulin banta hai par aapki body usse use nahi kar paati. Teesri jo common tarah ki diabetes hai usse hum Gestational diabetes bolte hai jo ki pregnant females mein hota hai. Diabetes ka test bahut simple hai, isme ek blood test kiya jata hai, fasting blood sugar aapka agar 125 ya usse zada hai toh aapko diabetes hai.
Ek test hota hai HbA1c jo ki teen mahine ka average batata hai aapke sugar ka, agar aapka HbA1c 6.5 se zada hai toh bhi aapko diabetes hai. Zadatar time ab hum random ya khane ke baad wala sugar nahi karte lekin fir bhi agar aap kabhi karate hai aur 200 se zada aata hai toh aapko further test ki zarurat hai ye pata karne ke liye ke aapko sugar hai ya nahi hai. Diabetes se diqatte kya hoti hai? Dekhiye, diabetes jo hai wo ek progressive bimaari hai as such bade saare logo ko lagta hai ki ye jo thakavat hai, ye jo weight loss ho raha hai, ye normal lifestyle ka part hai but aisa hai nahi, diabetes aapke body ke har part ko involve karta hai. Major complications jo ho sakte hai jaise aapko dil ka daura padh sakta hai, lakwa maar sakta hai, pair mein gangrene ho sakta hai, pairo ki nase such sakti hai jiske wajah se aapko chalne mein diqqat aa sakti hai, aankhein kharaab ho sakti hai, gurde kharaab ho sakti hai, pet ki diqqat ho sakti hai, sexual activity mein diqqat aa sakti hai, koi bhi chota infection bahut jaanlewa ho jaata hai, isliye diabetes ka control bahut zaruri hai aur jitna early hum iska treatment start kare utna hi aapke liye faidemand hai.
Ab diabetes ke liye treatment kya hai?
Diabetes ke treatment ko hum generally do bhaago mein divide karte hai; ek hai lifestyle management aur dusra dawaiya. Lifestyle management mein main humesha apne maarizon ko samjhata hu ke ye dawaiyon se zada important hai. Lifestyle management mein teen cheezein aati hai: weight control, diet and exercise. Weight control mein bhi fir teen cheezein aati hai ke aapko motivated hona hoga ke aap weight lose karna chahte hai ya nahi aur iska exercise pattern bhi hum individualize karte hai ke aapko kya karna pasand hai. Agar aapke ghutno mein dard hai toh shayad aap walking na kar paaye, aapke liye cycling better hai. Agar aap yoga karne chahte hai toh uske liye bhi hum individualize karege but depend karta hai aapko pasand kya hai. Issi tarah se se diet ko bhi individualize kiya jata hai. Ye sabhi ko pata hai ke diabetes mein sugar nahi khana hota, aaloo ki cheezein nahi khaani hoti hai, but regional differences hote hai, cultural differences hote hai aur us hisaab se hum aapko batate hai ke kya khana hai aur kya nahi khana. By and large, complex carbohydrates, fresh fruits, jo ki bahut zaada meethe na ho, healthy portion of vegetable and salads.
Ek rule of thumb hai jo ki har diabetic patient ko follow karna chahiye. Exercise ke baare mein kam se kam aadha ghanta, bahut acha ho agar aap 45 minutes har din walk kar paaye, kam se kam hafte mein 5-7 din. Diabetes mein medicines bahut tareeke ke hote hai, maine pehle bhi bataya ki Type 1 diabetes ka ilaaj sirf aur sirf insulin hai, Type 2 diabetes mein different medications hai aur diabetes bahut hi advancing field hai jisme ke din ba din naye drugs aa rahe hai. Ye aap apne doctor se mile, aapke kis level ka diabetes hai, aapko sath mein kya complications hai, aapke tests kya reveal karte hai, aur aap kis regimen ko follow kar sakte hai, us hisaab se hum aapke diabetes ka plan banate hai. Aqsar hum sugar ki mareezon ko ye pata nahi hota kea cha sugar control bolte kisko hai. Acha sugar control hum tab bolte hai jab aapka bhuke pet wala ya fasting wala sugar 140 se kam ho. Agar random karwa rahe hai ya khan eke do ghante baad wala karwate hai toh wo 180 se kam hona chahiye aur teen mahine ka average batane wala HbA1c, 7 se kam rehna chahiye. Agar aap ye teeno goal achieve karte hai, iska matlab hai ke aapka sugar acha control hai.
Agar aap humare sath judna chahte hai, diabetes ka treatment karwane chahte hai ya kuch aur jaanna chahte hai toh, please contact me through lybrate.com. Thank you so much.
Type DiabetesDoctor in GLOBAL WELLNESS CENTRE
Doctor in GLOBAL WELLNESS CENTRE
Dr. Ritez Kumar
Patient Review Highlights
GLOBAL WELLNESS CENTRE Reviews
Hemanthkumar
Mar 27, 2020I found the answers provided by the Dr. Ritez Kumar to be helped me improve my health. 4months onwards
Siddhant
Aug 09, 2018I found the answers provided by the Dr. Ritez Kumar to be very helpful, knowledgeable and helped me improve my health. Done sonograph and 3mm detected