HappyMindz
Psychiatrist Clinic
About Clinic
Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of Addiction Specialist, Adolescent And Child Psychiatrist, Adult Psychiatrist, Psychotherapist.We are dedica...read more
Clinic Timing
Clinic Location
Clinic Images
Videos
Hi,
I am Dr. Neha Salhotra, Psychiatrist. Mental health aur mansik sawasth ke baare mein aaj hum discuss karne vale hain. WHO ne health ki definition mein kaha hai ki kewal sharirik sawasthey hi nahi puran sawasthey ke liya mansik ka sawasth hona bhi atyant awashak hai. Aaj ke dor mein jahan stress itna badh gaya hai, har 6th Indian ko mental health professionalist se hi consult karna chaiye. Is video ke madhyam se mein aap ko kuch common mansik bimariyon ke baare mein batana chahti hun. Sabse pehle unke naam jaan lete hain. Jaise depression, mania, OCD, anxiety ya ghabrahat aur nashe ka sewan. Vaise toh aur bhi bohut sari bimariyan hain lekin aaj ke time mein ye sabse jyada common hain. Jinke liya aap ko ek psychiatrist se consult karna chaiye. Ab hum inke symptoms ke baare mein bhi thoda bohut jaan lete hain. Depression jismein udasinta hona common hai. Udasinta ek normal udasinta hona nahi balki aisi udasi jismein humein kuch bhi karne ka maan na kare, neend kam aaye, bhook kam lage, sharir mein furti mehsus na hona, ye kuch lakshan depression ke ho sakte hain.
Agar aap ko inmein se koi bhi lakshan pichle 15-20 days se hai ya agar aap ko lagta hai ki aap ka sharir uth nahi raha hai, bharipan lag raha hai, maan mein negative thoughts jyada hain ya fir suicidal thoughts aa rahein hain toh turant apne psychiatrist se consult karein. Ye hue depression ke lakshan. Fir ghabrahat ya anxiety ke kya lakshan ho sakte hain. Anxiety mein dil ki dhadkan tez hona, dil ki dhadkan samajh mein aana, body shivering, choti choti baaton pe darr jana, aage ke baare mein bure vichar aana, choti choti baaton mein chinta karna, jaise apne sawasthey ke baare mein. Agar aise lakshan aap apne mein ya kisi mein bhi dekhein toh awashaye apne psychitrist se milen. Tisri bimari jiske baare mein hum baat karenge vo hai mania. Mania depression ka opposite hota hai. Mania mein atyant khushi mehsus hoti hai. Ya bohut jyada irritation, gussa aur stubborness aana.
Sharir mein bohut jyada furti ka aana, bohut jyada kharcha karne ka dil karna, over-confident ho jana, raat me neend na aana, bhagte rehna, kabhi kabhi ladayi jhagda ya marpit bhi karna. Ye kuch mania ke lakshan ho sakte hain. 4th bimari hai OCD. Is bimari mein patient ko hamesha feel hota hai ki har jagha gandagi hai, baari baari hath dhona, safai karna, iske alwa har chiz ko apne tarike se rakhne ki koshish karna. Doubts rehna like fan off kiya hai ya nahi, baar baar jake check karna. Ye sab symptoms OCD ke ho sakte hain. Isliya aagar aap ko aise symptoms khud mein ya fir kisi mein bhi dikhte hain to psychiatrist se contact karein. Ab hum nashile padarthon ke baare mein baat karenge. Like alcohol, cannabis, heroine, aur bhi nashe hain but ye kuch common hain. Jab nasha aap ki personal life ko ya fir social life ko ya fir occupational life ko affect karne lage toh hum samajh jaate hain ki ye bimari ka roop le raha hai. Nasha sharirik sawasthye ko hi nahi mansik sawasthey ko bhi affect karta hai. Kuch sharirik lakshan bhi ho sakte hain nashe ki like liver, kidney, ya fir peat mein ulcer hona. Nasha depression and anxiety ka bhi karan ban sakta hai. Jab insan nashe ko bohut jyada importance dene laage tab humein samajh jaana chaiye ki vo imari ka roop le raha hai. Isliya ye btana jruri hai ki kab professional help ki jarurat hai. Isliya in problems ko overlook na karein and jald se jald psychiatrist se milena.
Thanks!
Hello,
I am Dr. Neha Salhotra, Psychiatristi. Child psychiatry, de-addiction, women mental health issues, psychotherapy and counseling me specialised hun. Aaj ki date me stress and depression bhut hi common ho gya hai. Ye problem kisi ko bhi effect kr skti hai. Is problem ke childhood and adolescent depression ke kya symptoms ho skte hain. Upset, lack of desire in work, weakness symptoms hain. Agar aap bache me aise koi bhi symptom dekh rhen hain to ho skta hai bacha depress ho.
Teacher se complaint aa skti hai ki bacha ab thik se padhayi nhi kr rha hai. Backe ko lack of sleep ka problem hona or excessive sleep. Loss or excessive appetite. Gussa ana and irritate hoke saman todna. Choti choti baton me bhut jldi rona. Body ke kisi bhi part me pain hona. Drugs abuse hona. Hum maximum time is problem ko ignore krte hain. Depression major cause hai suicide ka. Psychiatrist se consult kren and apne bachon ko healthy bnayein.
Thank You!
Doctor in HappyMindz
Doctor in HappyMindz
Patient Review Highlights
Very helpful
8 reviewsknowledgeable
3 reviewsWell-reasoned
1 reviewsHelped me improve my health
1 reviewsInspiring
3 reviewsPractical
1 reviewsCaring
3 reviews